Tuesday, December 31, 2030

Prologue ....

"dil-e-naadaaN tujhe huaa kyaa hai?
aaKhir is dard kee davaa kyaa hai?" [Ghalib]

"दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है?
आख़िर इस दर्द की दवा क्या है?" [ग़ालिब]

" دِلِ ناداں تُجھے ہوا کیا ہے ؟
آخِر اس درد کی دوا کیا ہے؟" (غالِب)٠


Easy link to the Table of Contents here.


Any comments in this blog or my guestbook will be greatly appreciated.
Please keep checking this space for future additions. Thank you for visiting this blog.

Urdu fonts: Installing these fonts >> here << and >> here << may allow for easier reading of the material in Urdu script


Wednesday, March 19, 2025

Ghazal 80: be.sabab yooN na tilmilaayaa kar




be.sabab yooN na tilmilaayaa kar
dil meiN kuchh sabr bhee jagaayaa kar

naa.umeedee to kufr hai, is se
Khud ko har haal meiN bachaayaa kar

dil ki daulat hai, qadr kar is kee
"dard aaNkhoN se mat bahaayaa kar" :: [1]

zer-e-lab hee sahee, GhamoN meiN bhee
geet 'ishrat ke gungunaayaa kar

n'ematoN kaa hai shukriyaa vaajib
roz dast-e-du'aa uThaayaa kar!

har talab ko hai ek dar kaafee
ya'ani har dar na khaTkhaTaayaa kar!

sar ka jhuknaa to ba'ad kee hai baat
pehle sijde meiN dil jhukaayaa kar!

'ishq kaa khel ho, to laakhoN baar
jeeti baazee bhi haar jaayaa kar

in meiN aate naheeN haiN phall meeThe
peR nafrat ke mat lagaayaa kar

ShaiKh S'adi ka ho ke pairav.kaar
nekiyaaN kar ke bhool jaayaa kar! :: [2]

'aib auroN meiN DhooNDne ke 'ivaz
aa'ina Khud hi ko dikhaayaa kar

maqsad-e-zeest kyaa hai, juz is ke?
doosroN ke tu kaam aayaa kar! :: [3]

sab haiN apne, kisee ko duniyaa meiN
na samajh Ghair yaa paraayaa kar!

hai yeh vaahid sukooN ka gehwaara
maaN ke qadmoN meiN baiTh jaayaa kar

sidq -o- iKhlaas -o- 'aajizee, "naadaaN"
apne har kaam meiN dikhaayaa kar!


(MARCH 15, 2025 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[1] ::

tarahi misr'a » Shakeel Azmi

~

[2] ::

to neekoo'yee kon -o- dar dajle andaaz
ke eezad dar bayaabaan'at deh'ad baaz

S'adi Shirazi » Masnavi #41

~

[3] ::

tareeqat be.joz Khedmat-e-Khalq neest
ba tasbeeh -o- sajjade vo dalq neest!

S'adi Shirazi » bostaan » baab-e-avval » dar 'adl -o- tadbeer -o- raaye


Friday, July 05, 2024

Ghazal 79 : taaree hai nashh'a`e- mai`e- 'ishq-e- liqaa-e-gul




taaree hai nashh'a`e- mai`e- 'ishq-e- liqaa-e-gul
bulbul chaman meiN kyoN na ho mehv-e-sanaa-e-gul!

har soo hai zikr-e- nudrat-e- husn-o-adaa-e-gul
goyaa tamaam baaGh hai mid'hat.saraa-e-gul!

kyaa kyaa 'urooj par hai Ghuroor-o-anaa-e-gul!
kitne diloN ko shauq se hai aazmaaye gul!

poshaak-e-surKh oRhe, ba.shakl-e- qabaa-e-gul
'ushhaaq ko, ze raah-e-nazar, varGhalaaye gul!

ahl-e-chaman meiN dekh ke hirs-o-havaa-e-gul
geh naaz se khile hai, gahe muskuraaye gul!

kaisee 'ajab kashish hai kih pehlee hi deed meiN
bulbul ne rakh diya hai dil-o-jaaN ba paa-e-gul

hai kuchh to 'ishq meiN, kih samajhte haiN sab tuyoor
qeemat meiN besh, jaaN se bhi, nirKh-o-bahaa-e-gul

nasreen-o-nastaran se 'alaaqa ho kyoN use?
jis kee nazar meiN heech hai har shai, sivaa-e-gul

haiN fasl-e-nau.bahaar meiN naGhme tuyoor ke
takreem-o-tehniyat ke tahaa'if baraa-e-gul

voh chashm, chashm kyaa, jise fursat ho husn se?
voh qalb, qalb kyaa, jise qat'an na bhaaye gul?

qurbat ki laakh kaavish-o-koshish ke baa.vujood
qismat ne ab ke, dekhiye, kyaa kyaa khilaaye gul!

do din mein Khatm ho gayi jab mohlat-e-shabaab
ruKh soo-e-Khaak karne lage barg'haa-e-gul!

niklee na kis zubaan-e-Gharaz se ba.sad niyaaz?
lekin thi raayegaaN hi du'aa-e-baqaa-e-gul!

gooNjaa chaman meiN, dekh ke ham-suhbat-e-ajal,
shor-e-shikaayat-e-sitam-e-naa.ravaa-e-gul

karb-e-firaaq-e-yaar meiN, taa der, 'andaleeb
rotaa rahaa naseeb ko ba'ad az fanaa-e-gul

taKhreeb-e-dil, halaakat-e- ummeed-o-'eitmaad
honaa bhi kyaa tha aur m'aal-e- vafaa-e-gul?

bhaaree paRaa, gumaaN se bhi baRh kar, Khudaa.gavaah
soorat.parast ban ke, yeh honaa fidaa-e-gul!

yak.saaN har ik chaman meiN hai, har qarn-o-'ahd meiN
roodaad-e- 'aashiqaan-e-gul -o- maajraa-e-gul

kaaNToN hi se ulajhtaa rahaa 'andaleeb-e-zaar
afsos, ho sakaa na kabhee aashnaa-e-gul!


(JULY 05, 2024 -- ARLINGTON, TX -- USA)


A "musalsal Ghazal," in the "zameen" of Mirza Ghalib


Friday, March 10, 2023

Ghazal 78: na vaqt-e-aah, na mauq'a hai khul ke rone kaa!





na vaqt-e-aah, na mauq'a hai khul ke rone kaa
hai garche dil pe bahut bojh Gham ke Dhone kaa!

diyaar-e-sang meiN karnee paRee hai zeest mujhe
naseeb le ke kisee kaaNch ke khilone kaa

giraaN, bahut hi giraaN jaan-o-tan pe guzre hai
yeh daur -- raat se din, din se raat hone kaa!

hai Khastagee ka voh 'aalam, kih Khwaab meiN bhi mudaam
sataaye bin nahiN rehtaa Khayaal sone kaa!

milaa na chain ko'ee samt Khaana`e-dil meiN
liyaa hai jaa'iza sau baar kone kone kaa!

sukoon-e-dil ke 'ivaz ek pal meiN Thukraa dooN
Khazaana bhee jo muyassar ho chaandi sone kaa!

jahaaN meiN dekh ke anjaam-e- kaar-e- fikr-o-Khirad
rahaa na Khauf kuchh ab 'aql-o-hosh khone kaa

jidhar bhi dekhiye, duniyaa ka garm hai baazaar
bike zameer-e-bashar jis meiN aune-paune kaa

kiyaa hai mujh ko zamaane ne is qadar maayoos
naheeN hai chaara ba.juz us se haath dhone kaa!

zameen-e-Khushk meiN duniyaa ki -- kyaa bhalaa haasil,
daraKht-e- nisbat-o-yaaree ke beej bone kaa?

basaa hai qalb meiN ab ke voh rog -- jis pe asar
du'aa ka hai, na davaa kaa, na jaadu Tone kaa!

jakaR ke daam-e- Gham-o-dard-o-yaas meiN 'naadaaN'
«javaaz DhoonD rahaa hooN maiN apne hone kaa» :: [ 1 ]


(MARCH 10, 2023 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[ 1 ] :: tarahi misr'a: "Kashif" Irfan




Thursday, January 27, 2022

Ghazal 77: kushta`e-naaz-e-but-e-'aiyaar honaa thaa, hue!





kushta`e-naaz-e-but-e-'aiyaar honaa thaa, hue!
aur phir ik baar kyaa! sau baar honaa thaa, hue!

deed-e-roo-e-yaar se sarshaar honaa thaa, hue!
mai baGhair us bazm meiN mai.Khwaar honaa thaa, hue!

naam-o-shuhrat ke liye taiyaar honaa thaa, hue!
'ishq meiN, y'anee, zaleel-o-Khwaar honaa thaa, hue!

soz-e-dil thaa ik 'ataa-e-Khaas qismat kee hameN
so usee meiN ham ko nazr-e-naar honaa thaa, hue!

thaa na jaane kyaa fusooN us nargis-e-beemaar kaa
teht jis ke ham ko «yooN» beemaar honaa thaa, hue

bandagee meiN us ki, Khud ko farq taa paa sauNp kar
baazi-e-ulfat meiN Khud.muKhtaar honaa thaa, hue!

dard-e-furqat kaa shikasta, karb-e-Ghurbat kaa shikaar
lamha lamha vaaqif-e-aazaar honaa thaa, hue

din to thaa dushvaar, us ke hijr meiN raatoN ko bhi
muztarib, be.chain, shab.bedaar honaa thaa, hue

'aql kho kar, dil luTaa kar, deen-o-eemaaN bech kar
ham aseer-e-'ishq ko naa.chaar honaa thaa, hue

jab huaa mansoob naam apnaa bhi us gul.roo ke saath
jis kahaanee kaa ahamm kirdaar honaa thaa, hue!

hoshiyaaree hosh vaaloN ko mubaarak ho; hameN
bas mureed-e-Khaana`e-Khammaar honaa thaa, hue!

ahl-e-dil to be.zarar the! ahl-e-duniyaa ko magar
har qadam par raah kee deevaar honaa thaa, hue!

shehr-e-dil meiN jab kabhee qaa'im hue qasr-e-umeed
baKht ke haathoN unheN mismaar honaa thaa, hue!

ham se deevaanoN ka hai veeraaniyoN se vaasta
jin ko zeb-o-zeenat-e-darbaar honaa thaa, hue!

zaahidoN meiN, kyaa qabaahat, gar the rusvaa ya haqeer?
'aashiqoN meiN ham ko 'izzat.daar honaa thaa -- hue!

paa'oN ko, naadaaN, safar meiN ruKh ba.samt-e-koo-e-dost
kyaa 'ajab gar soorat-e-pargaar honaa thaa, hue!


(JANUARY 27, 2022 -- ARLINGTON, TX -- USA)






Monday, March 29, 2021

Ghazal 76: chaahiye gar kih ho kabhee tujh se kamaal -- muKhtalif




chaahiye gar kih ho kabhee tujh se kamaal -- muKhtalif
'umr ki phir bisaat par chal koi chaal muKhtalif!

daana`e-uns se huaa taa'ir-e-husn said kab?
taar-e-qavee-e-'ishq se bun koi jaal muKhtalif

us ne savaal-e-vasl par haNs ke kahaa kih "be.Khabar,
hosh saNbhaal kar idhar poochh savaal muKhtalif!"

jis ke vujood se rahee dil meiN nishaat-o-Khurramee
jab se gayaa hai voh, huee soorat-e-haal muKhtalif

fard hi thaa voh b'il.yaqeeN shaah-e-butaan-e-naazneeN
dekhi, na phir sunee kaheeN aisi misaal muKhtalif!

ranj vohee, alam vohee, dard vohee hai, Gham vohee
zeest meiN aaye jaaye haiN go mah-o-saal muKhtalif

roz hi DhooNDtaa rahaa Gham se mafarr ka raasta!
roz hi sar pe aa paRaa ek vabaal muKhtalif!

:: q ::
raah-e-vafaa meiN ab kahaaN sabr-o-qaraar kaa nishaaN??
y'ani qadam qadam hai yaaN baab-e-malaal muKhtalif!

maaya`e-Khud.supurdagee, naqd-e-niyaaz-o-'aajizee
raKht-e-safar ko hai yahee maal-o-manaal muKhtalif
:: ::

'ishq ke kaar-o-baar meiN sarf ho zindagee jahaaN,
vaqt kise kih DhooNDiye rizq-e-halaal muKhtalif!

tal'at-o-abru'aan-e-yaar par hua jab se dil nisaar
ho gaye Khaarij az shumaar badr-o-hilaal muKhtalif!

dil meiN hai faiz-e-'ishq se ik voh taraana, jis ke hai
sur tar-o-taaza, lai judaa, dhun nayi, taal muKhtalif

sh'er-o-suKhan ka kyaa mazaa jis meiN naheeN hai jaa.ba.jaa
qasd-e-adaayagee nayaa, tarz-e-Khayaal muKhtalif?


(MARCH 29, 2021 -- ARLINGTON, TX -- USA)