Tuesday, November 06, 2018

Ghazal 72: kaT gayee dar justjoo-e- jins-e-naayaab-e-nishaat




kaT gayee dar justjoo-e-jins-e-naayaab-e-nishaat!
haif, guzree 'umr saaree dar.pa`e-Khwaab-e-nishaat!

'aish-o-'ishrat kaa na poochhe ham se koee maajraa
yeh vohee jaaneN, jahaaN meiN jo haiN arbaab-e-nishaat

un ko, ai dil, kyaa kisee ke Gham se nisbat? voh kih haiN
mehv-e-raahat bar sar-e-baaleen-e-kamKhwaab-e-nishaat!

baa.vujood-e-sa'ee-e-paiham kai bovad momkin maraa
lab nehaadan bar lab-e- jaam-e- mai-e-naab-e-nishaat?

DhooNDne par bhee na baazaar-e-jahaaN se mil sakee
saaz-e-hastee ke liye, haihaat, mizraab-e-nishaat!

maslehat hogee, yaqeenan! baKht ne jis ke sabab
band hee rakkhaa hai roo-e-shauq par baab-e-nishaat!

be.kasee, tuhmat, museebat, karb, zillat, iztiraab!
pur hai dil saamaan-e-Gham se, jaa-e-asbaab-e-nishaat!

Khoogar-e-aazaar-e-ashk-e-Gham to haiN, go aaj tak
chashm haiN naa.aashnaa-e-lazzat-e-aab-e-nishaat!

reh gayee bas ik tamannaa dar dil-e-hirmaaN.naseeb:
Gham ki bastee ko bahaa le jaaye sailaab-e-nishaat!

zindagee meiN jis ne dekhee hee na ho ik bhee Khushee
us se kyaa rakhiye umeed-e-'ilm-e-aadaab-e-nishaat!

fasl-e-gul ho, abr ho, sehn-e-chaman ho, yaar ho,
jab kahe ko'ee: «ba.ham haiN jumla asbaab-e-nishaat!»

kaash "naadaaN," misl-e-"Hasrat" too bhi keh jaata kabhee
«dil hai Gharq-e-shaadmaanee, jaan sairaab-e-nishaat» :: [ 1 ]


(NOVEMBER 06, 2018 -- ARLINGTON, TX -- USA)

[ 1 ] :: "Hasrat Mohani"







1 comment: