Sunday, August 15, 1999

Ghazal 18: "betaab hai dil dard-e-mohabbat ke asar se"




"betaab hai dil dard-e-muhabbat ke asar se" (1)
duniyaa ke sitam aur zamaane ki nazar se

dil jabr-e-masheeyat ki shikaayat to kare hai
lekin hai 'ilaaj is ka `agar` se, na `magar` se

har moR pe duniya meiN faqat ranj hi kyoN hai?
poochhe to koi is ka sabab ahl-e-hunar se!

yeh dil hai tiraa, jism tiraa, jaaN bhi hai teree
jaaooN to kahaaN jaaooN maiN uTh kar tire dar se?

ik baar to mujh par bhi paReN teri nigaaheN!
ik baar to rehmat ki ghaTaa TooT ke barse!

go chup hai zabaaN, dil mira pathhar to naheeN hai
har dard numaayaaN hai miraa deeda`e-tar se

ik 'umr se hooN maiN bhi talabgaar-e-masarrat
ai dil, jo use laaooN to laaooN maiN kidhar se?

yeh dasht-e-junooN aur yeh raatoN ki siyaahi!
kyaa jaaniye kyaa soch ke niklaa tha maiN ghar se!

ai kaash, k. mil jaaye kaheeN manzil-e-maqsood
jee bhar gayaa 'naadaaN' miraa is raahguzar se

AUGUST 15, 1999 - WICHITA, KS - USA

(1) "Shakeel" Badaayuni

Hindi Here

Urdu here


No comments: