Friday, August 27, 1999

Ghazal 19: tuhmat-o-ilzaam bhee hai, kulfat-o-aalaam bhee




tuhmat-o-ilzaam bhee hai, kulfat-o-aalaam bhee
kis qadar vehshat.zadah hai 'ishq kaa anjaam bhee!

kaam apnaa kar gayee yooN hasrat-e-naakaam bhee
chain ab dil ko naheeN hai, kho gayaa aaraam bhee

kaash koi le ke aaye ab mai-e-gulfaam bhee
aik muddat ho gayee hai rehke tishna.kaam bhee

haasil-e-qaid-e-jahaaN kyaa, ab yeh mujh se poochiye!
subh ashk-e-bekasee, to ashk-e-Gham har shaam bhee

zindagee kee rahguzar meiN kyaa bataayeN kyaa milaa?
be.qaraari har qadam par, be.basi har gaam bhee

is se baRh kar aur kyaa hogaa muhabbat kaa suboot?
dil meiN us kee yaad bhee hai, lab par us kaa naam bhee

aarzoo, hasrat, tamanna, aas, Khwaahish aur umeed!
chhoR deN yaaraan-e-manzil, ab Khayaal-e-Khaam bhee!

le usee kaa naam Ghaafil, kar usee ki justjoo!
hai vohee aaGhaaz-e-ulfat aur vohee anjaam bhee

jab uThaaya maine aaNkhoN se hijaab-e-Khudsaree
tab huaa aazaad-e-zulmat.Khaana`e-auhaam bhee

kaun ab suntaa hikaayat ranj-o-Gham kee, dosto?
yooN to 'naadaaN' shehr meiN kehne ko hai badnaam bhee!


(AUGUST 27, 1999 - WICHITA, KS - USA)

Coming soon

Coming soon


No comments: