Monday, August 02, 1999

Ghazal 17: kaarzaar-e-junooN meiN aaya hooN




kaarzaar-e-junooN meiN aaya hooN
hosh ko kab ka maiN bhulaaya hooN

zindagi kee har aik manzil par
apni qismat ko aazmaayaa hooN

gar naheeN sabr ab to kyaa keeje?
har qadam par jo maat khaaya hooN

jaan leni hai gar to le jaao!
aik muddat ka maiN sataaya hooN

zindagi pur.kashish to hai, lekin
zindagi se fareb khaaya hooN

voh faqat ik Khayaal-e-GHaib naheeN
apne dil meiN use basaaya hooN

daulat-e-'ishq, pyaar ke tohfe
dekh kyaa tere dar pe laaya hooN!

log paiham savaal karte haiN --
tang kyoN zindagi se aaya hooN!

jab kabhi uski yaad aayee hai
aas kaa deep phir jalaaya hooN

uske aane ki ik KHabar sun kar
anjuman anjuman sajaayaa hooN

baaNT kar dil ki saari jaageereN
apni hasti ko Khud miTaaya hooN

kyaa 'ajab raasta hai irfaaN kaa!!
KHud ko kho kar hi KHud ko paaya hooN

yeh to dil kee zubaan hai, naadaaN
tum ko ab tak jo maiN sunaaya hooN

(AUGUST 02, 1999 - WICHITA, KS - USA)

Coming soon

Coming soon


No comments: