Thursday, August 22, 1996

Ghazal 8: dil to mehv-e- hasrat-e-naakaam hai




dil to mehv-e- hasrat-e-naakaam hai
aur nazar? voh kab ki tishna.kaam hai

sozish-e-Gham, yoorish-e-aalaam hai
ik nayee ranjish yahaaN har gaam hai

shaam hasrat, subh' aah-e-naa.rasaa
bas mohabbat kaa yahee anjaam hai!

aarzoo-o-hasrat-o-ranj-o-malaal
zindagee kaa kyaa yahee in'aam hai?

hai 'ajab bechaargee-e-dil yahaaN
sabr hai ko'ee, na hee aaraam hai

taa.kujaa yeh izteraab-e-mustaqil?
taa.ba.kai yeh daur-e- subh-o-shaam hai ?

shehr-e-ulfat ke makeeno, hoshiyaar!!
jo bhi hai is shehr meiN, badnaam hai!

ai talabgaar-e- rah-e- 'aish-o-nishaat
"Khaam hai teri talab, haaN -- KHaam hai" (1)

kyaa yeh sochaa hee naheeN tum ne kabhee?
zindagee Khud maut kaa paiGhaam hai!!

fikr-e-'uqbaa hee naheeN tujh ko agar
zindagee se phir tujhe kyaa kaam hai?

DhooNDtaa, 'naadaaN,' hai kyaa tu dehr meiN?
bazm-e-hastee mehfil-e-auhaam hai!


(AUGUST 22, 1996 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri




No comments: