Saturday, February 22, 2014

Ghazal 63: qissa`e Khwesh naheeN, Ghair ki roodaad naheeN




qissa`e-Khwesh naheeN, Ghair ki roodaad naheeN
maa sivaa tere ab is 'ishq meiN kuchch yaad naheeN!

qasba`e-shauq, tamannaa ka nagar, mulk-e-Khayaal!
kaun saa shehr tire zikr se aabaad naheeN!

jis ne ik 'umr guzaaree hai tiree chaahat meiN
maiN vohee banda`e-ulfat hooN! tujhe yaad naheeN?

dehr hai naam usee daam.gah-e-qismat kaa
jis meiN aazaad bhi reh kar koi aazaad naheeN

dil yeh kis vaqt naheeN us ki adaaoN ka qateel!
'aql kab said-e- fusooN.saazi-e-jallaad naheeN!

Gham agar qissa`e-ulfat ka Khulaasa hai, to phir
kyaa 'ajab hai jo yahaaN dil bhi kabhee shaad naheeN!

naala`e-neem.shabee, ashk-e- Gham-e-sub'h.gahee!
tarz-e- izhaar-e-muhabbat hai yeh, faryaad naheeN!

har alam baa'is-e-tajdeed-e 'azaa`im hai mujhe!
kis liye Gham ko maiN samjhooN kih Khudaadaad naheeN?

us ki chaukhaT ka gadaagar hooN, so dunyaa se mujhe
ehtiyaaj-e-karam -o- haajat-e-imdaad naheeN!

'umr bhar, haif, rahaa us se judaa -- jis ke baGhair
chaara`e- dard-e-dil -o- Khaatir-e-naa.shaad naheeN!

maiN na shaa'ir hooN, na 'aalim, na muhaqqiq, na adeeb
ek afvaah hai, jis kee koi buniyaad naheeN!



( FEBRUARY 21, 2014 -- ARLINGTON, TX -- USA )




No comments: