Monday, September 17, 2012

Ghazal 62: gosha`e-hijr meiN baiThe rahe dil.geer hue




gosha`e-hijr meiN baiThe rahe dil.geer hue
munjamid hoNT liye, soorat-e-tasveer hue

sab ke sab Khasta`e- be.rahmi-e-taqdeer hue
qasr-e-ummeed jo dil meiN kabhi ta'ameer hue

jurm-e-ulfat meiN jo ham laa'iq-e-ta'azeer hue
sang.baaree ka nishaana, hadaf-e-teer hue

aise sayyaad se be.jaa hai taGhaaful ka gila
jis ke fitraak meiN ham aap hi naKhcheer hue

bazm-e-duniyaa meiN hai kis kaam ka yeh Khwaab-e-vafaa?
kis ne dekhaa ise sharminda`e-ta'abeer hue?

tai kiyaa ham ne safar 'umr ka tanhaa, ya'anee
ham.qadam bhee hamiN, rah.rau bhi, hameeN meer hue!

voh bhi shaadaaN kih unheN jabr pe kaamil hai girift
ham bhi naazaaN kih mureed-e- but-e-be.peer hue!

kuchch to hai pech-o-Kham-e- kaakul-e-jaanaaN ka tilism!
kyaa ta'ajjub, ham agar 'aashiq-e-zanjeer hue?

'ishq meiN kyaa Khushi? kaahe ka sukooN? kaisa qaraar?
ek ik moR pe jab Gham hi baGhal.geer hue!

haif, sad.haif! zamaana huaa 'naadaaN,' sar-e-bazm
da'avat-e- deed-e- jamaal-e- hamah.tanveer hue


(SEPTEMBER 17, 2012 - ARLINGTON, TX - USA)




No comments: