Monday, February 12, 2001

Ghazal 25: sar pe hai savaar




sar pe hai savaar
'ishq kee pukaar

dil ke ho gaye
raaz aashkaar

aaye dar chaman
kaash, ab bahaar!

dil ka khel hai!
yaaro, zeenhaar!

bahr-e-zindagi
kaise ab ho paar?

dil se dil ka hai
naata ustuvaar

tanha jheltaa
hooN jahaaN ka baar

saaz hai Khamosh
TooTa dil ka taar

"teera hai naseeb" (1)
Gham ka hooN shikaar

meri raah meiN
hai faqat Ghubaar

hasratoN ka hai
dil meiN ik mazaar

ab qazaa ka hai
mujh ko intizaar

husn cheez kyaa?
aur kyaa nikhaar?

hai 'abas rafeeq
dil ka kaar-o-baar

ik hai gar Khushi
Gham haiN sad.hazaar!

miT chukaa hai ab
zeest ka Khumaar

hai mayassar ab
dekh, iKhtisaar!

(1) 'Karaamat' Gardezi

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


No comments: