Monday, February 12, 2001

Ghazal 28: shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai




shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai
kyaa Khoob zamaane meiN mohabbat ka silaa hai

ik 'umr guzaari to pataa mujhko chalaa hai
kehte haiN jise 'ishq, yeh dar.asl balaa hai

ai chaaragaro, mujhko mire haal pe chhoRo,
is Gham ka madaava na dua'a hai na davaa hai

badlaa hai bhalaa pehle bhi dastoor-e-zamaana?
"hai dasht wohi, aur wohi aabla.paa hai" (1)

har shab ki tarah ab ke bhi jaaga hooN maiN shab bhar
us ne jo yahaaN aane ka ik va'ada kiyaa hai --

irfaan-e-haqeeqat se munavvar jo huaa dil
ma'aloom huaa yeh k. har ik samt Khudaa hai

har manzar-e-fitrat pe jabeeN jhukti hai meri
yeh tarz-e-'ibaadat mira har ik se judaa hai

us shaKhs ka afsaana sunaaooN bhi to kaise?
har gaam pe duniya meiN jo mar mar ke jiyaa hai

afsurda-dili, zaKhm-e-jigar, Khoon-e-tamanna
kyaa dehr meiN naadaaN tujhe kuchch aur milaa hai?

(1) Sarwar Alam Raz "Sarwar"

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


No comments: