Monday, September 14, 2015

Ghazal 67: iztiraab, aah-o-bukaa, ashk.fishaanee, afsos!





iztiraab, aah-o-bukaa, ashk.fishaanee, afsos
'ishq kee, muKhtasaran, hai yeh kahaanee -- afsos!

Khirman-e-jaaN ko sadaa raakh kiyaa kartee hai
garmi-e-aatish-e-Gham.haa-e-nihaanee, afsos!

na voh pehlaa sa rahaa qalb meiN ab sabr-o-qaraar!
na voh pehlee si rahee KhooN meiN ravaanee, afsos!

saaya`e-naKhl-e-mahabbat ki talab meiN taa 'umr
ham ne dunyaa ki kahaaN Khaak na chhaanee? afsos!

ek vehshat se kisee doosri vehshat ki taraf
mustaqil shauq ne kee naql-e-makaanee, afsos!

jins-e-naa.paid-e-talattuf ke ta'aaqub meiN kaheeN
ho gayee nazr-e-ajal apni javaanee, afsos!

thaa voh ik Khwaab, haqeeqat jise samjhaa ham ne
naqsha`e-husn, kih jis kaa naheeN saanee, afsos!

jis ke haathoN meiN faqat ek khilona tha, yeh dil
hai usee shaKhs ke zer-e-nigaraanee, afsos!

Gham ki yalGhaar ne jabran voh kiyaa haal, kih hai
jism kamzor, tabee'at Khafaqaanee -- afsos!

laakh samjhaayaa, naseehat kee, sabaq paRhvaayaa
'aql kee dil ne magar ek na maanee, afsos!

'ishq par jab bhi kiyaa nutq ne qasd-e-tafseer
gum hue saare hi lafzoN se m'aanee, afsos! :: 1 ::

maat khaayee to bil.aaKhir hameN karnaa hi paRaa
zindagee meiN, pa`e-z'om-e-hamah.daanee, afsos!

taa kujaa een 'amal-e-jahl.pasandee, haihaat!!
taa ba kai een ravish-e-heech.madaanee, afsos!

bas bhi 'naadaaN,' kih huee teri Ghazal.go'ee ab
laa'iq-e-anjuman-e-marsiya.Khwaanee, afsos!


(SEPTEMBER 16, 2015 -- ARLINGTON, TX -- USA)


:: 1 :: Maulana Jalaaluddin BalKhi (Rumi):

har cheh gooyam 'eshq raa sharh-o-bayaan
chon ba.'eshq aayam, Khijil baasham az aan!
::
Masnavi M'anavi - daftar-e-avval






No comments: