Wednesday, July 09, 2003

Ghazal 42: manzil ka pataa hai, na gila be.Khabari kaa*




manzil ka pataa hai, na gila be.Khabaree kaa
hotaa hai mazaa aur hi kuchch dar.ba.daree kaa

da'ava hai kahaaN mujh ko vasee'.un.nazaree kaa?
mehdood yeh 'aalam hai bahut deedavaree kaa

izhaar na kyoN apni karooN be.hunaree kaa?
juz 'aks naheeN kuchch maiN tiri jalva.garee kaa!

is jaa bhi to kar ek nazar, mere maseehaa!
maiN bhi hooN talabgaar tiree chaara.garee kaa

ik dil hi se kyaa faiz bhalaa, raah-e-vafaa meiN
laazim hai rahe 'azm javaaN har safaree kaa!

zindaan-e-alam bhi hai yeh, kaashaana`e-Gham bhi
ik 'umr se paa.band hooN dil ki nagaree kaa

qismat ka likhaa jo bhi hai, sab mujhko hai manzoor
kyoN Gham ho phir aflaak ki be.daad.garee kaa?

poochhe to aseeraan-e-qafas se koi poochhe
sayyaad ko kyaa 'ilm hai be.baal-o-paree kaa?

gar hai to faqat maut se ummeed-e-rihaa`ee!
shaayad hai 'ilaaj ab yehi aashufta.saree kaa!

ab kuchch to bataa, kyaa tujhe yaad aaye hai 'naadaaN?'
aaKhir hai sabab kyaa tiri miZhgaaN ki taree kaa?

(JULY 09, 2003 - ARLINGTON, TX - USA)

--
(*) Meer Taqi Meer ki zameen meiN






No comments: