Saturday, September 10, 2005

Ghazal 48: ranj-o-Gham, dard-o-be.kasi, saahib*





ranj-o-Gham, dard-o-be.kasi, saahib
is ko kehte haiN zindagi saahib

is qadar ham se be.ruKhi, saahib!
hai yehi rasm-e-dosti, saahib?

jis pe naaraaz ho ke baiThe haiN
baat aaKhir hai kaun si, saahib?

Gham, sitam, jabr -- sab hameN manzoor
gar 'inaayat hoN aap ki, saahib!

ab bhi hoNToN pe ik tabassum hai
go k. aaNkhoN meiN hai nami, saahib

'aashiqui hai yeh, koi khel naheeN
choT lagti bhi hai buri, saahib!

hai saraapaa voh husn kaa paikar
rashk-e-firdaus hai, pari, saahib!

jaaN nisaar us pe ham ne kar Daali
kya Khabar kyaa hai bandagi, saahib! (1)

naa.tavaani si naa.tavaani hai
aur hai dil meiN be.basi, saahib!

kis ko samjhaayeN? kaise samjhaayeN
dil ki roodaad-e-abtari, saahib!

kal bhi us kee thi aarzoo dil ko
aarzoo hai yeh aaj bhi, saahib

baar.haa yeh Khayaal aataa hai
zeest kitni hai 'aarizi, saahib

maal-o-zar se kaheeN mila hai sukooN?
kyaa diram, kaisi ashrafi saahib?

bazm-e-duniya meiN ham bhi haiN, lekin
haif! maanind-e-ajnabi, saahib!

jis ko dar aap kaa mayassar ho
ik vohi shaKhs hai Ghani, saahib

dil meiN aatish jo yeh bhaRakti hai
noor bhi hai yeh, naar bhi, saahib!

kaun jaane k. har taraf kyoN hai
z'om, pindaar, Khud.sari, saahib!

ek din us ko le ke Doobegi
aadmi kee hamaa.hami, saahib!

kaash haasil ho zindagi meiN kabhi
'ilm-o-'irfaan-o-aagahi, saahib!

==::Q::==
rahzan-e-'aql haiN janaab-e-shaiKh
dushman-e-dil haiN maulvi saahib!

roz-o-shab un se kyaa gila keeje?
is se behtar hai Khaamushi, saahib!
==:::: ==

us ke dar kee haiN saari hee raaheN
ab kise Khauf-e-gum.rahi, saahib?

husn-e-vehdat hai shash.jihat maujood
gar haTe parda`e-dui, saahib!

rind.mashrab hai dil ba.fazl-e-Khudaa
hai azal hi se be.Khudi saahib

jis taraf us ka aastaaN dekha
us taraf yeh jabeeN jhuki, saahib

voh to aaKhir makeen-e-dil niklaa!
jis ko DhooNDaa gali gali saahib

ab naheeN door manzil-e-maqsood
hai yaqeeN dil ko -- vaaqa'i, saahib

go Ghazal keh to dee hai 'naadaaN' ne
hai voh is fann meiN mubtadi, saahib!

(SEPTEMBER 10, 2005 -- ARLINGTON, TX -- USA)

(1) "maiN naheeN jaanta du'aa kya hai" [Ghalib]

---
* misr'a`e-tarah: "aap aur aap ki Khushi, saahib"
Modification to the zameen of Momin Khan Momin:
"tum bhi hone lage Khafa, saahib
kaheeN saaya miraa paRaa, saahib?"




No comments: