Wednesday, June 09, 1999

Ghazal 15: kyaa bataaooN kis qadar jeenaa miraa dushvaar thaa




kyaa bataaooN kis qadar jeenaa miraa dushvaar thaa
zindagi ki raah par jab har qadam pur.Khaar thaa!

ibtidaa-e-'ishq meiN dil mustaqil sarshaar thaa
intihaa meiN jaane kyoN har shai se maiN bezaar thaa!

har qadam ashk-e-nadaamat, har nafas aah-o-bukaa
zindagi kee har ghaRi guzri k. jaise baar thaa

shikva`e- be.mehri-e- ahl-e-zamaana kyaa karooN?
"ranj to yeh hai k. maiN apni nazar meiN Khwaar thaa" (1)

kis se kehtaa, kaun suntaa daastaan-e-dard-e-dil?
jab miraa koi shareek-e-Gham, na koi yaar thaa

is se andaazaa lagaayeN dil ke ujRe haal kaa
jo bayaabaaN ab hua hai, yeh kabhi gulzaar tha!

yooN pashemaaN ho ke 'naadaaN' kyaa milegaa - kuchch bataa!
tu ne un kaa dil dukhaaya, jinko tujhse pyaar thaa

(JUNE 09, 1999 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Noor" Shrivastav

Coming soon

Coming soon


No comments: