Friday, March 10, 2023

Ghazal 78: na vaqt-e-aah, na mauq'a hai khul ke rone kaa!





na vaqt-e-aah, na mauq'a hai khul ke rone kaa
hai garche dil pe bahut bojh Gham ke Dhone kaa!

diyaar-e-sang meiN karnee paRee hai zeest mujhe
naseeb le ke kisee kaaNch ke khilone kaa

giraaN, bahut hi giraaN jaan-o-tan pe guzre hai
yeh daur -- raat se din, din se raat hone kaa!

hai Khastagee ka voh 'aalam, kih Khwaab meiN bhi mudaam
sataaye bin nahiN rehtaa Khayaal sone kaa!

milaa na chain ko'ee samt Khaana`e-dil meiN
liyaa hai jaa'iza sau baar kone kone kaa!

sukoon-e-dil ke 'ivaz ek pal meiN Thukraa dooN
Khazaana bhee jo muyassar ho chaandi sone kaa!

jahaaN meiN dekh ke anjaam-e- kaar-e- fikr-o-Khirad
rahaa na Khauf kuchh ab 'aql-o-hosh khone kaa

jidhar bhi dekhiye, duniyaa ka garm hai baazaar
bike zameer-e-bashar jis meiN aune-paune kaa

kiyaa hai mujh ko zamaane ne is qadar maayoos
naheeN hai chaara ba.juz us se haath dhone kaa!

zameen-e-Khushk meiN duniyaa ki -- kyaa bhalaa haasil,
daraKht-e- nisbat-o-yaaree ke beej bone kaa?

basaa hai qalb meiN ab ke voh rog -- jis pe asar
du'aa ka hai, na davaa kaa, na jaadu Tone kaa!

jakaR ke daam-e- Gham-o-dard-o-yaas meiN 'naadaaN'
«javaaz DhoonD rahaa hooN maiN apne hone kaa» :: [ 1 ]


(MARCH 10, 2023 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[ 1 ] :: tarahi misr'a: "Kashif" Irfan




No comments: