Monday, April 25, 2005

Ghazal 46: zeest kaa kyaa bhalaa huaa haasil?




zeest kaa kyaa bhalaa huaa haasil?
kaisa maazi, kahaaN ka mustaqbil?

husn kaa yooN to maiN naheeN qaa'il
un ke ruKhsaar kaa magar voh til!

farq itna hai mujh meiN aur us meiN
maiN hooN mushtaaq, aur voh Ghaafil!

amn-o-raahat kee, 'aish-o-'ishrat kee
laakh DhooNDooN, kaheeN naheeN manzil!

kyaa kahooN kis qadar hai tanhaa`ee
go bharee hai jahaaN ki yeh mehfil

baar.gaah-e-hareem-e-naaz meiN haiN
ik nazar se hazaar.haa bismil!

zindagi jee to looN, magar ham.dam
har qadam par hai kyoN nayee mushkil?

aik patthar hai yeh, zaraa socho!
jis ko kehte ho tum mah-e-kaamil!

uTh chukaa hai naqaab chehre se
ab naheeN kuchch nigaah ko haa'il

haal-e-dil ab kise maiN samjhaaooN?
koi Gham hee meiN jab naheeN shaamil!

kis tarah Gham meiN aaNkh Khushk rahe?
kaash mujh par yeh 'ilm ho naazil!

ik nigaah-e-karam idhar, aaqaa!
hai khaRaa tere dar pe yeh saail!

un ke ik ik sitam se hai ab to
dil bhi maGhmoom, jism bhi ghaail

'aql kyaa? dil hai kyaa? kise hai Khabar!
kaun deevaana, kaun hai 'aaqil?

teri roodaad sun kar, ai 'naadaaN'
kab talak reh sake koi be.dil?

(APRIL 25, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)




No comments: