Friday, March 31, 2017

Ghazal 70: jhelaa hai dil ne baar_haa nuqsaan-e-aarzoo



jhelaa hai dil ne baar'haa nuqsaan-e-aarzoo!
hotaa naheeN hai phir bhi pashemaan-e-aarzoo!

kyaa jaane kis ki deed se aayaa hai raqs meiN
soyaa paRaa tha jo tan-e-be.jaan-e-aarzoo

har kuhna zaKhm dil kaa, huaa, dar firaaq-e-dost
phir taaza.tar ba faiz-e-namakdaan-e-aarzoo

manzil.rasee ko soorat-e-mehmez haiN sabhee
paa-e-talab meiN Khaar-e-bayaabaan-e-aarzoo

vehshat hai intihaa pe, junooN apne auj par
uThhaa hai jab se qalb meiN toofaan-e-aarzoo

yaad-e-jamaal-e-roo-e-daraKhshaan-e-yaar se
jaltaa hai *aur* seena`e-biryaan-e-aarzoo!

daaKhil huaa to ho hi gayaa shehr-e-husn meiN
be.iKhtiyaar qaidi-e-zindaan-e-aarzoo

detaa hai roz dars-e-Gham-e-nau ka imtihaan!
dil aaj tak hai tifl-e-dabistaan-e-aarzoo!

pehloo ka dard, dil ki jaraahat, jigar ka soz
voh kaun shai hai jo nahiN faizaan-e-aarzoo!

sairaab ashk-e-KhooN se huaa hai tamaam 'umr
har phool jo hai zeb-e-gulistaan-e-aarzoo

kab dil meiN vasl-e-yaar ki Khwaahish na thee, magar
taqdeer bhee to ho koi shaayaan-e-aarzoo!

samjheNge kis tarah kashish-e-lutf-e-Khaas-e-dost
voh dushmanaan-e-dil, voh hareefaan-e-aarzoo

gardaante ho is ko gunah tum, to muhtasib,
lo, phir hooN maiN bhi maa'il-e-'isyaan-e-aarzoo!

kaafir sahi maiN, mujh ko hai jaaN se 'azeez.tar
voh kufr, jo hai haasil-e-eemaan-e-aarzoo

hargiz naheeN hai dil voh sharee'at meiN 'ishq kee
mansoob jis se ho kabhi fuqdaan-e-aarzoo

guzraa Khud is maqaam se jab maiN, to yeh khulaa
hai 'ahd-e-'ishq 'ahd-e-faraavaan-e-aarzoo!

voh zindagee hi kyaa hai, kih jis zindagee meiN ho
gunjaa'ish-e-umeed, na imkaan-e-aarzoo

:: q ::
laayaa hai aaKhirash mujhe pesh-e-dar-e-habeeb
itnaa zaroor mujh pe hai ehsaan-e-aarzoo

hai zarra zarra koocha`e-jaanaaN ka, dekhnaa
aaraasta ba.Khoon-e-shaheedaan-e-aarzoo

laazim hai ab kih nazr ho jaaN us ki raah meiN
Taltaa bhi kis tarah, kih hai farmaan-e-aarzoo

mantiq agar naheeN, na sahee -- kaar-e-'ishq meiN
chaltee hai 'aql kee kaheeN dauraan-e-aarzoo!?
:: ::

paas-e-adab kahaaN tujhe 'naadaaN,' kih 'ishq meiN
karne lagaa hai yooN 'alal.a'elaan-e-aarzoo!


(MARCH 31, 2017 -- ARLINGTON, TX -- USA)


Ghazal in the zameen of Asghar Gondvi and Akhtar Shirani.





No comments: