Tuesday, December 20, 2005

Ghazal 50: m'ojiza samjhooN ise maiN, yaa tilism-e-'aashiqui?




m'ojiza samjhooN ise maiN, yaa tilism-e-'aashiqui?
bhoolna chaahaa jise, voh yaad aayaa aur bhi!

ik hujoom-e-naamuraadi, ik vufoor-e-bekasi
vaaye naakaami! bataa, hai zeest kaa haasil yehi?

DhooNDne niklaa maiN jab bhee jaa`e-amn-o-aashti
raahat-e-jaaN ke 'ivaz Gham hee milaa har har ghaRi

soz-e-dil, zaKhm-e-tamanna, daaGh-e-furqat har gali
hai azal se shehr-e-ulfat masdar-e-aashuftagi

hooN gunahgaar-e-mohabbat to chalo, yooN hee sahi!
is gunah par to mujhe mutlaq naheeN sharmindagi!

'ishq meiN kyaa kyaa na jaane dil pe guzre haadisaat
roz-o-shab thee aah-o-zaari, raat din thee bekali

ek din chhooTeN bhi shaayad hasrat-o-armaaN, magar
aarzoo hee aarzoo meiN ab to muddat ho gayi!

anjuman se kyaa gaye voh, miT gayeeN sab raunaqeN!
reh gayaa dil meiN faqat ik dard-e-kasr-e-daa'imi

bad.gumaani, be.ruKhi, keena, riyaakaari, hasad!
raas aaye bhee to kyoN.kar ik jahaaN ki kaj.ravi?

jab bhi dil bhaTkaa talaash-e-manzil-e-maqsood se
raah par laayi hamesha apni hee Khud.aagahi!

lab pe, yaa rab, hai du'a -- taa zindagi qaa'im raheN
'azm-o-himmat, shauq-o-bedaari, Khuloos-o-tan.dihi

lutf-e-rang-o-boo-e-duniya Khoob hai apni jagah
baat hee kuchch aur hai lekin Khayaal-e-yaar ki

jalva.gaah-e-husn-e-kaamil kaa nazaara, marhabaa!
hai charaaGhaaN hee charaaGhaaN, raushni hee raushni!

faasla kyaa? kaisi doori? sab nazar ka hai fareb!
varna haq to hai yehi, "man tu shudam, tu man shudi" (1)

sh'er ke parde meiN 'naadaaN' keh rahaa hai dil ka haal
ai jahaaN vaalo, na samjho is ko be.jaa shaa'iri!

(DECEMBER 20, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)

---
(1) "man tu shudam, tu man shudi, man tan shudam, tu jaaN shudi
taa kas na goyad ba'ad.az.eeN man deegaram, tu deegari"
[ Ameer Khusrau Dehlvi, 1253-1325 AD ]





Thursday, November 03, 2005

Ghazal 49: kabhi aah-o-fuGhaaN lab par, kabhi faryaad hoti hai




kabhi aah-o-fuGhaaN lab par, kabhi faryaad hotee hai
muhabbat meiN, Khudaaya, zindagee kab shaad hotee hai?

mata'a-e-zeest meree aur kuchch barbaad hoti hai
shab-e-furqat ki jab jab dil meiN taaza yaad hotee hai

sunaa karta hooN taqreereN faqeeh-e-shehr kee jab bhi
na jaane kyoN tabee'at maa'il-e-ilhaad hotee hai!

Ghaneemat hai jo aise meiN mile ik bhi Khushee mujh ko
hazaaroN meiN GhamoN kee dil meiN jab ta'adaad hotee hai

hai mere dil meiN tu har pal, magar itna bataa -- tujhko
kabhee meri Khabar bhee, ai sitam.eejaad, hotee hai?

qafas kaa garcheh 'aadee hai dil-e-dard.aashnaa mera
bahut jaaN.soz phir bhee Ghaflat-e-sayyaad hotee hai

gahe mahjoori-e-ulfat, gahe majboori-e-haalat!
kahaaN tak dil ki bastee, dekhiye, aabaad hotee hai!

Khudaa ma'aloom, vaqt-e- zikr-e-naakaami-o-rusvaa`ee
zubaan-e-dehr par meree hi kyoN roodaad hotee hai!

bhalaa voh dil hi kyaa, mehr-o-muravvat se jo ho Khaali?
bhalaa voh fikr kyaa, jis kee anaa buniyaad hotee hai?

baRaa pur.haul hai manzar tamaashaa.gaah-e-'aalam kaa
jidhar dekhooN, udhar be.daad hee be.daad hotee hai!

kaTee go mushkiloN se chaar din ki zindagee, 'naadaaN'
chalo acchha huaa, ab Khatm yeh mee'aad hotee hai!


(NOVEMBER 03, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)




Saturday, September 10, 2005

Ghazal 48: ranj-o-Gham, dard-o-be.kasi, saahib*





ranj-o-Gham, dard-o-be.kasi, saahib
is ko kehte haiN zindagi saahib

is qadar ham se be.ruKhi, saahib!
hai yehi rasm-e-dosti, saahib?

jis pe naaraaz ho ke baiThe haiN
baat aaKhir hai kaun si, saahib?

Gham, sitam, jabr -- sab hameN manzoor
gar 'inaayat hoN aap ki, saahib!

ab bhi hoNToN pe ik tabassum hai
go k. aaNkhoN meiN hai nami, saahib

'aashiqui hai yeh, koi khel naheeN
choT lagti bhi hai buri, saahib!

hai saraapaa voh husn kaa paikar
rashk-e-firdaus hai, pari, saahib!

jaaN nisaar us pe ham ne kar Daali
kya Khabar kyaa hai bandagi, saahib! (1)

naa.tavaani si naa.tavaani hai
aur hai dil meiN be.basi, saahib!

kis ko samjhaayeN? kaise samjhaayeN
dil ki roodaad-e-abtari, saahib!

kal bhi us kee thi aarzoo dil ko
aarzoo hai yeh aaj bhi, saahib

baar.haa yeh Khayaal aataa hai
zeest kitni hai 'aarizi, saahib

maal-o-zar se kaheeN mila hai sukooN?
kyaa diram, kaisi ashrafi saahib?

bazm-e-duniya meiN ham bhi haiN, lekin
haif! maanind-e-ajnabi, saahib!

jis ko dar aap kaa mayassar ho
ik vohi shaKhs hai Ghani, saahib

dil meiN aatish jo yeh bhaRakti hai
noor bhi hai yeh, naar bhi, saahib!

kaun jaane k. har taraf kyoN hai
z'om, pindaar, Khud.sari, saahib!

ek din us ko le ke Doobegi
aadmi kee hamaa.hami, saahib!

kaash haasil ho zindagi meiN kabhi
'ilm-o-'irfaan-o-aagahi, saahib!

==::Q::==
rahzan-e-'aql haiN janaab-e-shaiKh
dushman-e-dil haiN maulvi saahib!

roz-o-shab un se kyaa gila keeje?
is se behtar hai Khaamushi, saahib!
==:::: ==

us ke dar kee haiN saari hee raaheN
ab kise Khauf-e-gum.rahi, saahib?

husn-e-vehdat hai shash.jihat maujood
gar haTe parda`e-dui, saahib!

rind.mashrab hai dil ba.fazl-e-Khudaa
hai azal hi se be.Khudi saahib

jis taraf us ka aastaaN dekha
us taraf yeh jabeeN jhuki, saahib

voh to aaKhir makeen-e-dil niklaa!
jis ko DhooNDaa gali gali saahib

ab naheeN door manzil-e-maqsood
hai yaqeeN dil ko -- vaaqa'i, saahib

go Ghazal keh to dee hai 'naadaaN' ne
hai voh is fann meiN mubtadi, saahib!

(SEPTEMBER 10, 2005 -- ARLINGTON, TX -- USA)

(1) "maiN naheeN jaanta du'aa kya hai" [Ghalib]

---
* misr'a`e-tarah: "aap aur aap ki Khushi, saahib"
Modification to the zameen of Momin Khan Momin:
"tum bhi hone lage Khafa, saahib
kaheeN saaya miraa paRaa, saahib?"




Thursday, May 26, 2005

Ghazal 47: sahaa na jaaye hai apnoN ka yeh chalan mujh se*




sahaa na jaaye hai apnoN ka yeh chalan mujh se
nifaaq rakhte haiN Ghurbat meiN ham.vatan mujh se

milaa hai jab kabhi voh zeenat-e-chaman mujh se
tamaam shehr ko hone lagee jalan mujh se

laboN par us ke tabassum ki deed -- kyaa kahiye!
liye the us ne jo gul.haa`e-nastaran mujh se

Khataa mu'aaf, mohabbat koi Khataa to naheeN!
na rooTh jaaiye itnaa bhi, jaan-e-man, mujh se

Gham-e-habeeb! Gham-e-'aashiqui! Gham-e-geti!
hai koi aur bhi duniya meiN Khasta.tan mujh se?

na jaane kyoN hai yehi rasm-o-raah barsoN se
'udoo hai shaiKh, to naalaaN hai barhaman mujh se!

kabhi ba.shakl-e-muravvat, kabhi ba.soorat-e-mehr
rah-e-talab meiN mile kitne raah.zan mujh se!

hui hai sang-e-malaamat ki mujh pe yooN baarish
lahoo se zaKhm ke chipke hai pairahan mujh se (1)

kahooN maiN 'ishq meiN kis tarha Khud ko laa.saani?
junooN ke baab meiN aage hai 'Kohkan' mujh se! (2)

usee ke dar pe rahooNga hamesha sar.ba.sujood
koi rakhe, na rakhe ab ke husn-e-Zann mujh se

zubaaN pe qufl sahee, hai Khayaal to aazaad
kise majaal k. chheene yeh fikr-o-fann mujh se?

anaa ki qadr hi kyaa, jab yehi haqeeqat hai --
'na maiN suKhan se hooN mash.hoor, nay suKhan mujh se'

hai maslehat k. rahooN ab Khamosh maiN, naadaaN
na tang aayeN kaheeN ahl-e-anjuman mujh se

(MAY 26, 2005 -- ARLINGTON, TX -- USA)

* misr'a-e-tarah for private mushaa'ira in DFW on June 11, 2005:
"k. maiN suKhan se hooN mash.hoor, aur suKhan mujh se" [Mirza Rafi Sauda]

(1) "chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan" [Ghalib]
(2) inspired by discussion with U.V. Ravindra "Khursheed"
_____________
Evolution of sh'er:
While discussing the 'tarah' and possible qavaafi words with UV Ravindra
(May 17, 2005), he suggested that 'Kohkan' would be a good qaafiya to
use and spontaneously came up with the following idea:

'milee na ishq meN sad haif maut bhee mujh ko --
junooN meN do qadam aage thaa Kohkan mujh se'

Liking the 2nd line a lot, I too, wthin a few minutes, came up with a 'girah' --
reflecting my own style and temperament -- for his 2nd line (modified)
-- resulting in the sh'er seen above.

Subsequently, UVR sahib has used my own 1st line in his Ghazal too, with
my permission and thanks.






Monday, April 25, 2005

Ghazal 46: zeest kaa kyaa bhalaa huaa haasil?




zeest kaa kyaa bhalaa huaa haasil?
kaisa maazi, kahaaN ka mustaqbil?

husn kaa yooN to maiN naheeN qaa'il
un ke ruKhsaar kaa magar voh til!

farq itna hai mujh meiN aur us meiN
maiN hooN mushtaaq, aur voh Ghaafil!

amn-o-raahat kee, 'aish-o-'ishrat kee
laakh DhooNDooN, kaheeN naheeN manzil!

kyaa kahooN kis qadar hai tanhaa`ee
go bharee hai jahaaN ki yeh mehfil

baar.gaah-e-hareem-e-naaz meiN haiN
ik nazar se hazaar.haa bismil!

zindagi jee to looN, magar ham.dam
har qadam par hai kyoN nayee mushkil?

aik patthar hai yeh, zaraa socho!
jis ko kehte ho tum mah-e-kaamil!

uTh chukaa hai naqaab chehre se
ab naheeN kuchch nigaah ko haa'il

haal-e-dil ab kise maiN samjhaaooN?
koi Gham hee meiN jab naheeN shaamil!

kis tarah Gham meiN aaNkh Khushk rahe?
kaash mujh par yeh 'ilm ho naazil!

ik nigaah-e-karam idhar, aaqaa!
hai khaRaa tere dar pe yeh saail!

un ke ik ik sitam se hai ab to
dil bhi maGhmoom, jism bhi ghaail

'aql kyaa? dil hai kyaa? kise hai Khabar!
kaun deevaana, kaun hai 'aaqil?

teri roodaad sun kar, ai 'naadaaN'
kab talak reh sake koi be.dil?

(APRIL 25, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)




Monday, January 31, 2005

Ghazal 45: saaqiyaa, laa kar mai-e-gulfaam ko




saaqiyaa, laa kar mai-e-gulfaam ko
Khatm kar de ab Gham-e-ayyaam ko!

de du'aaeN daur-e-Khush.anjaam ko!
saaGhar-o-meena, suboo-o-jaam ko!

dekh kar us sarv-e-seem.andaam ko
kho diyaa jaane kahaaN aaraam ko!

naala.dar.dil, aah.bar.lab, Gham.ba.dosh!
kyaa milaa hai chaah kar asnaam ko?

Gham jab apne hee kiye kaa hai silaa
kosiye kyaa charKh-e-neelee.faam ko?

Ghota.zan haiN behr-e-ulfat meiN sabhee
kis ne sochaa hai magar anjaam ko?

har bayaaN pur.pech itnaa kyoN huzoor?
door to keeje kabhi ibhaam ko!

chhoRiye saaheb! bhalaa kaisa mazaaq?
Khwaab-e-'ishrat?! is dil-e-naa.kaam ko?!

subh-e-nau kyaa jaaniye kyaa laayegi!
sochta rehta hooN maiN har shaam ko

kaamraani chaahiye gar 'ishq meiN
tark kar parvaa-e-nang-o-naam ko

jalva.gaah-e-husn kee ra'anaaiyaaN
vajd meiN laati haiN Khaas-o-'aam ko!

mil gayee hai manzil-e-me'raaj-e-'ishq
chhoR kar tafheem-o-istifhaam ko!

jee meiN hai kar looN tavaaf-e-koo-e-dost
oRh kar ab jaama`e-ehraam ko

gar naheeN, 'naadaaN,' muqaddar meiN tire
DhooNDtaa hai kyoN 'abas ilhaam ko?

(JANUARY 31, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)

--
* matl'a from Haafez Shirazi, in Farsi:
"saaqiyaa, bar.Khez-o-dar deh jaam raa
Khaak.bar.sar kon Gham-e-ayyaam raa"




Saturday, January 29, 2005

Ghazal 44: kyaa bataayeN kih hai kyaa deed-e-ruKh-e-yaar ka lutf!*




kyaa bataayeN k. hai kyaa deed-e-ruKh-e-yaar ka lutf!
jaise maikash ko mile saaGhar-e-sarshaar ka lutf

uski har tarz-e-gul.afshaani-e-guftaar ka lutf!
marhabaa, anjuman.aaraai-e-sarkaar ka lutf!

naaz-o-andaaz-o-adaa, shoKhi-o-pindaar ka lutf!
kya bayaaN keejiye us husn ke atvaar ka lutf!

==::Q::==
fasl-e-gul meiN bhi uThaanaa hi paRaa Khaar ka lutf
meri taqdeer meiN thaa kab gul-o-gulzaar ka lutf?

bazm-e-farhat, na koee anjuman-e- 'aish-o-tarab!
saaz-e-pur.soz, na paa.zeb ki jhankaar ka lutf!

ranj-e- naumeedi-e-jaaved ka maaraa huaa dil!
ham.navaa hai, na kaheeN suhbat-e-Gham.Khwaar ka lutf!
==::::==

haaye voh ambareeN kaakul, voh qad-e-sarv-e-sahee!
kaash haasil ho kabhi yooN rasan-o-daar ka lutf (1)

ham ne maana k. bahaaroN ka yeh mausam hai, magar
dil agar shaad na ho, kyaa mile gulzaar ka lutf?

dushman-e-dil hai barahman, hai 'udoo 'aql ka shaiKh
ab na tasbeeh ki lazzat hai, na zunnaar ka lutf!

gar na ho Gham to Khushi ke haiN bhalaa kyaa m'ani?
lutf hota hai kaheeN 'ishrat-e-bisyaar ka lutf?

chheRti rehti hai rag rag ko yeh mizraab-e-alam
aur uThaata hooN bahut shauq se har taar ka lutf

pursish-e-haal ki chaahat, na zaroorat hai mujhe
'ishq meiN sab se judaa hai dil-e-beemaar ka lutf!

maa'il-e-sh'er kiyaa, de ke, usee ne 'naadaaN'
tab'a`e-naazuk, jigar-e- tishna`e-aazaar ka lutf!


(JANUARY 29, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)

--
* zameen conceived by U.V.Ravindra "Khursheed" (May 2003)

(1):
qad-o-gesoo meiN Qais-o-Kohkan kee aazmaaish hai
jahaaN ham haiN vahaaN daar-o-rasan kee aazmaaish hai

[Ghalib]