Thursday, August 08, 2002

Ghazal 41: voh jab bhi guzraa nazar ko begaana.vaar kar ke

voh jab bhi guzraa nazar ko begaana.vaar kar ke
gayaa voh mujh ko mazeed kuchhh dil.figaar kar ke!

idhar maiN aaGhaaz-e-'ishq hee se vafaa pe qaa'im
udhar voh saabit.qadam haiN, jabr iKhtiyaar kar ke

======================





voh jab bhi guzraa nazar ko begaana.vaar kar ke
gayaa voh mujh ko mazeed kuchhh dil.figaar kar ke!

vohee huaa mujh se ab, jo honaa tha pyaar kar ke -
kisee ke qadmoN meiN reh gayaa jaaN nisaar kar ke

maiN us ke dar par, na jaane kab se paRaa huaa hooN
nazar milaane ki minnateN sad.hazaar kar ke

har ek shaam-e-alam guzaaree hai maine, yaaro
tuloo'-e-subh-e-umeed par inhisaar kar ke

na jaane kitnee museebateN haiN rah-e-vafaa meiN
kih thak gayaa hooN museebatoN ka shumaar kar ke

tamaam yaadeN usee ki nisbat se theeN, yaqeenan!
"adaa karooNga kahaaN se itnaa udhaar kar ke?" (1)

kise Khabar thee voh motiyoN ka bhi thaa Khazeena!
maiN aa gayaa thaa faqat samundar ko paar kar ke!

idhar maiN aaGhaaz-e-'ishq hee se vafaa pe qaa'im!
udhar voh saabit.qadam hai, jabr iKhtiyaar kar ke!

bhaTak rahaa hooN lahoo.luhaan ab galee galee maiN
junooN meiN Khud apna pairahan taar taar kar ke

mire muqaddar ne bhee na mujhko kaheeN ka chhoRaa
qadam qadam par qayaamatoN ka shikaar kar ke

hooN apne KhwaaboN ki ek duniya meiN ab muqaiyyad
tire KhayaaloN ka har taraf ik hisaar kar ke

palaa huaa hooN KhizaaN ki aaGhosh meiN, valekin
sunaa thaa, hotaa hai ek mausam bahaar kar ke!

na din ko aaraam hai, na raatoN ko chain, yaa rab!
rahooN kahaaN tak hisaab-e-lail-o-nihaar kar ke?

har ek va'ada tha us ka jhooTaa azal se, 'naadaaN'
milaa bhi kyaa tujh ko, yeh bataa, 'eitbaar kar ke?


(AUGUST 08, 2002 - ARLINGTON, TX - USA )

(1) Irfan Sattar







Thursday, July 25, 2002

Ghazal 40: is ka dar.asl maajraa kyaa hai? *




is ka dar.asl maajraa kyaa hai?
zeest ne'mat hai, yaa balaa - kyaa hai?

'ishq ki ibtidaa se hooN vaaqif
kaun jaane k. intihaa kyaa hai?

ik teri yaad hee pe jeeta hooN
varna is dil ko aasraa kyaa hai

'ishq meiN ehtiyaat hai laazim!
kyaa Khabar qeemat-e-vafaa kyaa hai!

ho sake gar to koi samjhaaye
zindagi 'ishq ke sivaa kyaa hai?

raaz-e-ulfat naheeN hai posheedaa
dil ka dar khol, sochtaa kyaa hai?

tere har samt uske jalve haiN
DHooNDtaa us ka naqsh-e-paa kyaa hai?

is haqeeqat se ho gayaa aagaah
dehr juz jalva`e-Khudaa kyaa hai

rind-e-mai.Khaana`e-muhabbat hooN
hosh ka mujh se poochtaa kyaa hai!

"jo na jaatee ho koo-e-jaanaaN tak" (1)
mujhko us rah se vaastaa kyaa hai!

hai yeh 'azm-e-safar buland, ai dost
yooN 'abas mujh ko roktaa kyaa hai!

baT gayee, jitni bhee masarrat thee
mere hisse meiN ab bachaa kyaa hai?

vaqt-e-aaKhir qareeb hai, 'naadaaN'
mujhko ab haajat-e-davaa kyaa hai!


(JULY 25, 2002 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

(*) Based on Ghalib's "dil-e-naadaaN, tujhe huaa kyaa hai"






Sunday, May 19, 2002

Ghazal 39: "rang-o-Khushboo, shabaab-o-ra'anaa`ee"




"rang, Khushboo, shabaab, ra'anaa`ee" (1)
kyoN na ho un ka ko'i shaidaa`ee?

kasrat-e-jalva.gaah-e-fitrat meiN
dekh, muzmar hai sirr-e-yaktaa`ee!

ek hee shai ke haiN yeh do pehloo --
Khud.shanaasee, Khudaa.shanaasaa`ee!

is saraab-e-jahaan-e-faanee meiN
Khud tamaashaa hooN yaa tamaashaa`ee?

bahr-e-hastee ka ik habaab hooN maiN
vaaye qismat ki kaar.farmaa`ee!

kyaa bataaooN kih qalb-e-muztar par
kis qadar hai giraaN yeh tanhaa`ee!

dil hai be.chain, chashm pur.nam hai
aur Gham kee hai ik ghaTaa chhaa`ee

us ki furqat meiN yeh huaa ma'aloom
kitni dushvaar hai shikebaa`ee!

kunj-e-Khalvat meiN garche baiThaa hooN
yaad kee gooNjtee hai shehnaa`ee!

un se ummeed-e-vasl hai, yaaro
shaayad ab ho gayaa hooN saudaa`ee!

ishtiyaaq is taraf, udhar Ghaflat
rasm-e-ulfat samajh meiN ab aayee!

naaz-o-andaaz unkaa, uff, taubaa!
is ko kehte haiN 'aalam.aaraa`ee!

:: q ::
ik nazar aur idhar, mire saaqee!
yooN bhi kyaa qaht-e-jalva.farmaa'ee?

kyaa kahaa aap ne? ta'ajjub hai!
mai.gusaaree meiN baadah.paimaa`ee?!
:: -- ::

'ishq karte haiN voh, na peete haiN (2)
shaiKh saahib meiN kyaa hai daanaa`ee?

bhool kar aa gayaa hooN mehfil meiN
ab bharee bazm meiN hai rusvaa`ee!

roz-e-mehshar ka Khauf hai, lekin
kyoN isee ka hai dil tamannaa`ee!

qabr-e-'naadaaN' pe phool bikhre haiN
haif! aayee to ab bahaar aayee!


(MAY 19, 2002 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) Sarwar Alam Raz "Sarwar"
"rang-o-Khushboo, shabaab-o-ra'anaa`ee
aap se ho gayee shanaasaa'ee"

(2) In the vein/style of Khumaar Barabankvi




Saturday, April 27, 2002

Ghazal 38: har pal ko thaa malaal, har ik lamha dard thaa




har pal ko thaa malaal, har ik lamha dard thaa
dil ke chaman ka goya har ik patta zard thaa!

anjaam-e-'aashiqi ka voh mausam bhi sard thaa
ya'ani milaa vafaa ke 'ivaz dil ka dard thaa

bikhra paRaa thaa shehr-e-havas meiN idhar udhar
sheeraaza`e-hayaat miraa fard fard thaa

ik hosh thaa, jo vehm-o-tavahhum ka thaa aseer
ik jism-e-naatavaaN thaa, so maanind-e-gard thaa

kis ki sunooN maiN, aur sunooN bhi to kis tarah?
dil 'aql ka hamesha hareef-e-nabard thaa!

deevaangi ki hadd se guzarnaa na thaa kaThin
majnooN ki tarha maiN bhi to sehraa.navard thaa!

naadaaN, kaheNge sab tiri mayyat ko dekh kar
"Haqq maGhfirat kare, 'ajab aazaad mard thaa" (1)

(APRIL 27, 2002 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) Mirza Asadullah Khan "Ghalib"





Thursday, February 28, 2002

Ghazal 37: uska milnaa Khayaal-o-Khwaab huaa




uska milnaa Khayaal-o-Khwaab huaa
dard phir zindagee ka baab huaa

jab se dil vaqf-e-iztiraab huaa
zeest ka har qadam 'azaab huaa

dil meiN armaaN ki intihaa hi na thi!
Gham ka poochho, to be.hisaab huaa!

subh' ko aah, shaam ko aaNsoo
aur kyaa Gham meiN dastyaab huaa?

dard se pur thi yooN kitaab-e-hayaat
'aashiqoN ke liye nisaab huaa!

kyaa qayaamat thi, kaise batlaaooN?
jab voh mehfil meiN be.naqaab huaa!

husn ke phool khil uThe har soo
rashk-e-firdaus voh shabaab huaa

rind.mashrab hooN maiN, yaqeenan hooN!
'ishq-e-jaanaaN miree sharaab huaa

meri rag rag meiN thaa nashaa, jab se
dil ki nagari ka voh navaab huaa

kyaa? voh maa'il ba.iltifaat haiN ab?
shehr-e-ulfat meiN inqilaab huaa!?

jaan-o-dil garche haar aayaa thaa
'ishq meiN phir bhi kaamyaab huaa

poochhte haiN voh: "kaun hai 'naadaaN'?"
ab bhalaa is ka kyaa javaab huaa?

(FEBRUARY 28, 2002 - ARLINGTON, TX - USA)




Thursday, February 14, 2002

Ghazal 36: dil meiN naheeN iKhlaas, nigah paak naheeN hai




dil meiN naheeN iKhlaas, nigah paak naheeN hai
kyaa koi yahaaN saahib-e-idraak naheeN hai?

paamaal-e-Gham-e-zeest hooN ik 'umr se, yaaro
be.vajh girebaan mira chaak naheeN hai!

maana k. rah-e-'ishq bahut saKht hai, lekin
mujh ko gila`e-raah-e-Khatar.naak naheeN hai

voh dil, jo na ho Khoogar-e- aalaam-o-museebat
zaahir meiN go bebaak hai, bebaak naheeN hai

barsoN se nazar meiN nahiN qismat ka sitaara
is daur meiN kyaa gardish-e-aflaak naheeN hai?

us zehr-e-Gham-e-yaar ka dil ho gayaa haamil
jis zehr ka ab to kaheeN tiryaak naheeN hai (1)

rusvaa-e-jahaaN hooN bhi to is baat ka kyaa Gham?
ab shehr ke kis ghar meiN miri dhaak naheeN hai!

ai kaash, koi yeh to kahe ahl-e-jahaaN se
iKhlaas faqat lafz ki poshaak naheeN hai

"hasti ke tu mat pher meiN aa jaaiyo," 'naadaaN' (2)
kyaa cheez hai yeh jism agar Khaak naheeN hai!?

(FEBRUARY 14, 2002 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) tiryaak - var. of tiryaaq
Precedent: Iqbal Lahori: Zarb-e-Kaleem :: "quvvat aur deen"
"laa deeN ho to hai zehr-e-halaahal se bhi baRh kar,
ho deeN ki hifaazat meiN to har zehr ka tiryaak"


(2) Mirza Asadullah Khan Ghalib