Monday, May 14, 2001

Ghazal 31: shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN




shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN
vaaqif-e-rasm-e-dil samaaj naheeN

ab ke, pehla sa voh mizaaj naheeN
aur lagtaa hai kuchch 'ilaaj naheeN

hai muqaddar pe iKhtiyaar kise?
is pe, yaaro, kisi ka raaj naheeN!

hum bhi sultaaN haiN shehr-e-veeraaN ke!
baat alag hai k. taKHt-o-taaj naheeN

dil to paiham hai mehv-e-yaad-e-butaaN
aur juz is ke, kaam kaaj naheeN!

har sitam us ka sehte jaate haiN
phir bhi hoNToN pe ehtijaaj naheeN

hum ko apne 'uyoob kee hai KHabar
yeh na kehnaa k. hum ko laaj naheeN

jaan detaa hai voh, vohi legaa
haqq hai us kaa, koi Khiraaj naheeN!

hum ko mil jaaye gar jahaaN meiN sukooN
phir kisi shai ki ehtiyaaj naheeN!

lutf aisi Ghazal ka kyaa, jis meiN
tapish-e-dil ka imtizaaj naheeN!

manzil-e-aagahi talak "naadaaN" --
"hum bhi pohoNcheNge, lekin aaj naheeN" (1)

(MAY 14, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) U. V. Ravindra "Khursheed"

Coming soon

Coming soon


Thursday, April 26, 2001

ibtidaa




ibtidaa hoti hai us ke naam se...

hayaat meri Haqeeqat ki aisi qism bane
Khuloos-o-'ishq ka ghar mera saara jism bane

khuli kitaab ho dil, jiske har varaq par maiN
huroof jo bhi likhooN, bas usi ka ism bane

nigaah paak rahe, dil anaa se door rahe
Khudaa ke fazl se aisa koi tilism bane

इब्तिदा होती है उस के नाम से...

हयात मेरी हक़ीक़त की ऐसी क़िस्म बने
ख़ुलूस-ओ-'इश्क़ का घर मेरा सारा जिस्म बने

खुली किताब हो दिल, जिसके हर वरक़ पर मैं
हुरूफ़ जो भी लिखूँ, बस उसी का इस्म बने

निगाह पाक रहे, दिल अना से दूर रहे
ख़ुदा के फ़ज़्ल से ऐसा कोई तिलिस्म बने

(APRIL 27, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

اِبتِداء ہوتی ہے اُس کے نام سے


حیات میری حقیقت کی ایسی قِسم بنے
خلوص و عِشق کا گھر میرا سارا جِسم بنے

کھُلی کِتاب ہو دل، جِس کے ہر ورق پر مَیں
حروف جو بھی لِکھوں، بس اُسی کا اِسم بنے

نِگاہ پاک رہے، دِل انا سے دُور رہے
خُدا کے فضل سے ایسا کوئی طِلِسم بنے

(APRIL 27, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)



Sunday, April 01, 2001

Ghazal 30: zaKhm-e-dil maa'il-e-shifaa na huaa *




zaKhm-e-dil maa'il-e-shifaa na huaa
daaGh seene se ab judaa na huaa

har ghaRee yooN kisee ki yaad meiN gum --
haaye, ab dil bhi baa.vafaa na huaa!

minnateN kee theeN hum ne kitni vahaaN
dar-e-jaanaana phir bhi vaa na huaa

baa.vujood-e-hazaar_haa koshish
dil kabhee 'ishrat.aashnaa na huaa

aaKhir-e-kaar mil gayee shuhrat
ab ke ilzaam kuchch buraa na huaa!

be.asar ho gayeeN dua'aeN meri
goyaa naala bhi ab rasaa na huaa

Gham ka toofaan, dard kee yoorish
kyaa bataayeN kih hum pe kyaa na huaa!

us ki baatoN ka 'eitbaar kise?
us ne jo kuchch bhi thaa kahaa, na huaa

be.niyaazee, subuk.saree, be.dilee!?
kyoN koi aaj be.riyaa na huaa?

'umr bhar reh gayee thi ik hasrat
us ke dar ka maiN Khaak-e-paa na huaa

the mohabbat meiN be.qusoor sabhee
ek 'naadaaN' hi be.Khataa na huaa!

(APRIL 01, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

* based on Ghalib's: "dard minnatkash-e-davaa na huaa"

Coming soon

Coming soon


Saturday, March 24, 2001

Ghazal 29: maqsad-e-yak zindagaani chaahiye




maqsad-e-yak zindagaani chaahiye
'ishq ki koi nishaani chaahiye

dil ko ab sheereeN bayaani chaahiye
aur phir uski zabaani chaahiye!

zehr ab lagne lagi hai zindagi!
mujhko marg-e-naagahaani chaahiye

dil ka kyaa hai - TooT jaayega abhi
"dostoN ki mehrbaani chaahiye!" (1)

toR kar yeh halqa`e-Gham, ab mujhe
ik nishaat-e-jaavidaani chaahiye

dil taRaptaa hai musalsal aaj kal
jaise sehraaoN ko paani chaahiye!

zindagi ke sab maraahil par mujhe
ik kaleed-e-kaamraani chaahiye!

kyaa qayaamat thi nigaaheN jab mileeN!
yooN balaa-e-aasmaani chaahiye!

jis tarah thaa uski yaadoN ka Khumaar
phir vohi KhooN meiN ravaani chaahiye

phir dar-e-jaanaaN ko jaata hai Khayaal
kuchch to vajh-e-shaadmaani chaahiye...!

yaad haiN bachpan ke afsaane mujhe
phir woh pariyoN ki kahaani chaahiye

'umr-e-rafta ka hai 'naadaaN' kyaa gila?
kyaa tujhe phir nau.javaani chaahiye?!

(MARCH 24, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) Abdul Hamid Adam

Coming soon

Coming soon


Monday, February 12, 2001

Ghazal 28: shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai




shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai
kyaa Khoob zamaane meiN mohabbat ka silaa hai

ik 'umr guzaari to pataa mujhko chalaa hai
kehte haiN jise 'ishq, yeh dar.asl balaa hai

ai chaaragaro, mujhko mire haal pe chhoRo,
is Gham ka madaava na dua'a hai na davaa hai

badlaa hai bhalaa pehle bhi dastoor-e-zamaana?
"hai dasht wohi, aur wohi aabla.paa hai" (1)

har shab ki tarah ab ke bhi jaaga hooN maiN shab bhar
us ne jo yahaaN aane ka ik va'ada kiyaa hai --

irfaan-e-haqeeqat se munavvar jo huaa dil
ma'aloom huaa yeh k. har ik samt Khudaa hai

har manzar-e-fitrat pe jabeeN jhukti hai meri
yeh tarz-e-'ibaadat mira har ik se judaa hai

us shaKhs ka afsaana sunaaooN bhi to kaise?
har gaam pe duniya meiN jo mar mar ke jiyaa hai

afsurda-dili, zaKhm-e-jigar, Khoon-e-tamanna
kyaa dehr meiN naadaaN tujhe kuchch aur milaa hai?

(1) Sarwar Alam Raz "Sarwar"

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


Ghazal 27: dil meiN hai umang




dil meiN hai umang
phir se hai tarang

daam-e-'aashiqi
halqa`e-nahang!

meri zindagi
ik kaTee patang

maiN hooN baa.vafaa
kyoN jahaaN hai dang?

'aql-o-hosh par
kyoN lagaa hai zang?

hai nigaah-e-yaar
goyaa ik Khadang

yaad kaa Khumaar
ho sakaa na bhang (1)

dil hai 'aql se
aaj mehv-e-jang

mujh se yooN hijaab!?
dil hai yaa k. sang!

dard-e-dil ke bhi
muKhtalif haiN rang

mustaqil malaal!
dil hua hai sang

dil ki dhaRkaneN
jaise ik mridang!

saaNs, nabz-o-jaaN
nai, rabaab-o-chang!

zindagi se ab
aa gayaa hooN tang!

sust haiN qadam
itna kyoN dirang?

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) bhang hona = Hindi, to be broken/destroyed
(as in "tapasyaa bhang honaa" -- not to be confused with the opiate!)

Coming soon

Coming soon