Wednesday, March 19, 2025

Ghazal 80: be.sabab yooN na tilmilaayaa kar




be.sabab yooN na tilmilaayaa kar
dil meiN kuchh sabr bhee jagaayaa kar

naa.umeedee to kufr hai, is se
Khud ko har haal meiN bachaayaa kar

dil ki daulat hai, qadr kar is kee
"dard aaNkhoN se mat bahaayaa kar" :: [1]

zer-e-lab hee sahee, GhamoN meiN bhee
geet 'ishrat ke gungunaayaa kar

n'ematoN kaa hai shukriyaa vaajib
roz dast-e-du'aa uThaayaa kar!

har talab ko hai ek dar kaafee
ya'ani har dar na khaTkhaTaayaa kar!

sar ka jhuknaa to ba'ad kee hai baat
pehle sijde meiN dil jhukaayaa kar!

'ishq kaa khel ho, to laakhoN baar
jeeti baazee bhi haar jaayaa kar

in meiN aate naheeN haiN phall meeThe
peR nafrat ke mat lagaayaa kar

ShaiKh S'adi ka ho ke pairav.kaar
nekiyaaN kar ke bhool jaayaa kar! :: [2]

'aib auroN meiN DhooNDne ke 'ivaz
aa'ina Khud hi ko dikhaayaa kar

maqsad-e-zeest kyaa hai, juz is ke?
doosroN ke tu kaam aayaa kar! :: [3]

sab haiN apne, kisee ko duniyaa meiN
na samajh Ghair yaa paraayaa kar!

hai yeh vaahid sukooN ka gehwaara
maaN ke qadmoN meiN baiTh jaayaa kar

sidq -o- iKhlaas -o- 'aajizee, "naadaaN"
apne har kaam meiN dikhaayaa kar!


(MARCH 15, 2025 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[1] ::

tarahi misr'a » Shakeel Azmi

~

[2] ::

to neekoo'yee kon -o- dar dajle andaaz
ke eezad dar bayaabaan'at deh'ad baaz

S'adi Shirazi » Masnavi #41

~

[3] ::

tareeqat be.joz Khedmat-e-Khalq neest
ba tasbeeh -o- sajjade vo dalq neest!

S'adi Shirazi » bostaan » baab-e-avval » dar 'adl -o- tadbeer -o- raaye