Monday, March 29, 2021

Ghazal 76: chaahiye gar kih ho kabhee tujh se kamaal -- muKhtalif




chaahiye gar kih ho kabhee tujh se kamaal -- muKhtalif
'umr ki phir bisaat par chal koi chaal muKhtalif!

daana`e-uns se huaa taa'ir-e-husn said kab?
taar-e-qavee-e-'ishq se bun koi jaal muKhtalif

us ne savaal-e-vasl par haNs ke kahaa kih "be.Khabar,
hosh saNbhaal kar idhar poochh savaal muKhtalif!"

jis ke vujood se rahee dil meiN nishaat-o-Khurramee
jab se gayaa hai voh, huee soorat-e-haal muKhtalif

fard hi thaa voh b'il.yaqeeN shaah-e-butaan-e-naazneeN
dekhi, na phir sunee kaheeN aisi misaal muKhtalif!

ranj vohee, alam vohee, dard vohee hai, Gham vohee
zeest meiN aaye jaaye haiN go mah-o-saal muKhtalif

roz hi DhooNDtaa rahaa Gham se mafarr ka raasta!
roz hi sar pe aa paRaa ek vabaal muKhtalif!

:: q ::
raah-e-vafaa meiN ab kahaaN sabr-o-qaraar kaa nishaaN??
y'ani qadam qadam hai yaaN baab-e-malaal muKhtalif!

maaya`e-Khud.supurdagee, naqd-e-niyaaz-o-'aajizee
raKht-e-safar ko hai yahee maal-o-manaal muKhtalif
:: ::

'ishq ke kaar-o-baar meiN sarf ho zindagee jahaaN,
vaqt kise kih DhooNDiye rizq-e-halaal muKhtalif!

tal'at-o-abru'aan-e-yaar par hua jab se dil nisaar
ho gaye Khaarij az shumaar badr-o-hilaal muKhtalif!

dil meiN hai faiz-e-'ishq se ik voh taraana, jis ke hai
sur tar-o-taaza, lai judaa, dhun nayi, taal muKhtalif

sh'er-o-suKhan ka kyaa mazaa jis meiN naheeN hai jaa.ba.jaa
qasd-e-adaayagee nayaa, tarz-e-Khayaal muKhtalif?


(MARCH 29, 2021 -- ARLINGTON, TX -- USA)