Tuesday, November 06, 2018

Ghazal 72: kaT gayee dar justjoo-e- jins-e-naayaab-e-nishaat




kaT gayee dar justjoo-e-jins-e-naayaab-e-nishaat!
haif, guzree 'umr saaree dar.pa`e-Khwaab-e-nishaat!

'aish-o-'ishrat kaa na poochhe ham se koee maajraa
yeh vohee jaaneN, jahaaN meiN jo haiN arbaab-e-nishaat

un ko, ai dil, kyaa kisee ke Gham se nisbat? voh kih haiN
mehv-e-raahat bar sar-e-baaleen-e-kamKhwaab-e-nishaat!

baa.vujood-e-sa'ee-e-paiham kai bovad momkin maraa
lab nehaadan bar lab-e- jaam-e- mai-e-naab-e-nishaat?

DhooNDne par bhee na baazaar-e-jahaaN se mil sakee
saaz-e-hastee ke liye, haihaat, mizraab-e-nishaat!

maslehat hogee, yaqeenan! baKht ne jis ke sabab
band hee rakkhaa hai roo-e-shauq par baab-e-nishaat!

be.kasee, tuhmat, museebat, karb, zillat, iztiraab!
pur hai dil saamaan-e-Gham se, jaa-e-asbaab-e-nishaat!

Khoogar-e-aazaar-e-ashk-e-Gham to haiN, go aaj tak
chashm haiN naa.aashnaa-e-lazzat-e-aab-e-nishaat!

reh gayee bas ik tamannaa dar dil-e-hirmaaN.naseeb:
Gham ki bastee ko bahaa le jaaye sailaab-e-nishaat!

zindagee meiN jis ne dekhee hee na ho ik bhee Khushee
us se kyaa rakhiye umeed-e-'ilm-e-aadaab-e-nishaat!

fasl-e-gul ho, abr ho, sehn-e-chaman ho, yaar ho,
jab kahe ko'ee: «ba.ham haiN jumla asbaab-e-nishaat!»

kaash "naadaaN," misl-e-"Hasrat" too bhi keh jaata kabhee
«dil hai Gharq-e-shaadmaanee, jaan sairaab-e-nishaat» :: [ 1 ]


(NOVEMBER 06, 2018 -- ARLINGTON, TX -- USA)

[ 1 ] :: "Hasrat Mohani"







Monday, January 29, 2018

Ghazal 71: malool maiN na kisee ke kabhee hasad se huaa




malool maiN na kisee ke kabhee hasad se huaa
asar na mere 'azaa`im pe chashm-e-bad se huaa

mujhe zameer ne rokaa hamesha de ke lagaam
anaa ki zarb se baahar jab apni hadd se huaa!

kiyaa kisee ne na baa.vasf-e- laaf-e-'ilm-o-yaqeeN
jo kaam 'ishq meiN mujh aise naa.balad se huaa

hanoz bandagi-e-hukm-e-yaar par hai musirr
agarche jabr bhi is dil pe shadd-o-madd se huaa!

diye haiN saiNkRoN jab dard us ne dil ko mire
to ab ke farq hi kyaa aur ik 'adad se hua?

rah-e-hayaat meiN har marhale se mera guzar
'asaa-e-yaad-e-ruKh-e-yaar kee madad se huaa

rahaa hai sabr pe takiya, kih baar-e-Gham ka 'ilaaj
fiGhaaN se, shor-o-shaGhab se, na kob-o-zad se huaa!

talaash-e-suhbat-e-insaaN meiN hooN maiN sar.gardaaN
kih mutma'in to na dil fikr-e- dev-o-dad se huaa :: 1 ::

hai jaane kis liye paiham junooN ke sar ilzaam!
"fasaad jo bhi jahaaN meiN huaa, Khirad se huaa" :: 2 ::

'ajab hi kyaa hai jo idraak-e-husn-e-sh'er mujhe
kalaam-e-«Meer» -o- suKhan.saazi-e-«Asad» se huaa

'amal ke baab meiN yooN hai, kih har amal hi miraa
lagan se, mashq se, mehnat se, jahd-o-jadd se huaa! :: 3 ::

jigar ka KhooN bhi hai 'naadaaN," shareek-e-kaar, magar
maiN sarfaraaz faqat rehmat-e-ahad se huaa


(JANUARY 29, 2018 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[1] :: Molana Jalaaluddin Balkhi (Rumi):


dee shaiKh baa.cheraaGh hamee gasht gerd-e-shehr
k'az dev-o-dad malool am -o- insaan.am aarezoo'st!

goftand: yaaft mee na.shavad, josteh_eem maa
goft: aan kih yaaft mee na.shavad, aan.am aarezoo'st!

Yesterday (in broad daylight), a venerable old man roamed the town with a lantern, saying:
I am disappointed and dejected with devils/demons and beasts alike, and seek a "human being"

They said: It is not found anywhere, what you and us together seek
He replied: That what is not found anywhere is exactly what I am looking for!

~~

[2] :: Syed Iqbal 'Azeem

~~

[3] :: The pedantic/accurate pronunciation of the word is: "jidd." The restrictions of the rhyme-set (qavaafi alfaaz) in this Ghazal requires the word to be read as "jadd" instead [zaroorat-e-sh'eri].

~~