Tuesday, December 23, 2014

Ghazal 65: voh zaKhm-e-dil, kih jis ka naheeN indimaal bhee




voh zaKhm-e-dil, kih jis ka naheeN indimaal bhee
vaahid hai Gham.shinaas bhi, aagaah-e-haal bhee

tool-e- shab-e-firaaq ka har zikr hai 'abas
qismat meiN gar likhee na ho sub'h-e-visaal bhee

sau shikve, sau gile haiN, magar kis ko yeh majaal
us ke huzoor laaye jo lab par soʼaal bhee! :: 1 ::

aaNkheN supurd-e-ashk to jaaN nazr-e-soz-e-'ishq
shiddat bhi dhoop kee hai yahaaN, barsh.kaal bhee!

sar meiN junooN, jigar meiN Khalish, dil meiN fart-e-Gham
is 'ishq meiN kahaaN hai bhalaa 'eitdaal bhee!

:: q ::
juz 'ishq -- hai jahaaN meiN koi shai, jo ek saath
aafat bhi, qehr bhee hai, balaa bhee, vabaal bhee!?

vaajib hai shukr-e-n'emat-e-parvardigaar-e-kull
is haadise se bachiye agar baal baal bhee!
:: ::

rehtaa na darmiyaaN yeh 'man-o-tu' ka faasila
rakhtaa na voh agar hunar-e-infisaal bhee!

voh kyaa gayaa kih saath gayee ek kaa'inaat!
kahiye kise, kih ab nahiN pursaan-e-haal bhee!

kyaa e'itinaa? kahaaN ka karam? kaisa iltifaat?
yooN hee naheeN hai dehr meiN qaht.ur.rijaal bhee!

kuchch to ho zabt, kuchch to hayaa, kuchch to iKhtiyaar!
ai qalb-e-zaar, Khud ko zaraa to saNbhaal bhee!

hai jism naa.tavaaN, magar is jism par na jaa!
rakhtaa hooN apne paas dil-e-Khurd.saal bhee!

us kee yagaanagee ka voh 'aalam, kih koi aur
us saa kahaaN se laayeN ba.taur-e-misaal bhee?

karte haiN sijde pesh-e-dar-e-husn-e-dil.navaaz
arbaab-e- zeb-o-zeenat -o- jaah-o-jalaal bhee!

jab saamne ho maikada`e-jalva`e-habeeb
arzaaN hai zikr-e-kausar -o- aab-e-zulaal bhee!

manzil ik aur raah-e-mahabbat meiN hai zaroor
bairoon-e- hadd-e- daa'ira`e-ehtimaal bhee!

anjaam thaa jo Waamiq-o-Farhaad-o-Qais kaa
kaar-e-junooN meiN hai vohee apnaa ma'aal bhee!

:: q ::
ai daad.Khwaah-e-tarz-e-tafakkur, zaraa Thehar!
tujh meiN kaheeN hai ek achhootaa Khayaal bhee!?

'naadaaN,' riyaaz-o-mehnat-o-takleef ke baGhair
aataa naheeN hai auj pe saahib.kamaal bhee!
:: ::

(DECEMBER 23, 2014 -- ARLINGTON, TX - USA)


:: 1 ::
shaayad SheiKh Sa'adi ke is mash'hoor sh'er se Ghair.sha'oori taur par muta'sir (go kih mazmoon zaraa muKhtalif hai):

gofteh boodam cho ba_yaa'ee, Gham-e-dil baa to ba.gooyam
cheh ba.gooyam, kih Gham az dil ba.ravad chon to be_yaa'ee!

[Sa'adi]






Friday, July 11, 2014

Ghazal 64: huaa hai jab se dil ik naazneeN kaa




huaa hai jab se dil ik naazneeN kaa
na duniyaa kaa rahaa hooN maiN, na deeN kaa!

bataaooN kyaa kih kab se hooN muqaiyyad
kamand-e- sihr-e- chashm-e-surmageeN kaa

sharaab-e-'ishq tum chakkho, to jaano
kih is meiN zaa'iqa hai angabeeN kaa!

ba.har soo husn kee is saltanat meiN
jame hai r'aub ik masnad.nisheeN kaa!

diloN par hukmraaN honaa yaqeenan
hai vaahid mashGhala us mah.jabeeN kaa!

adaa, shoKhee, kinaayaa, tanz, naKhvat
Ghazab, har tarz us naaz.aafreeN kaa!

gayaa phir kab yahaaN se voh palaT kar
jo baashinda huaa is sar.zameeN kaa!

raqeeb ik ho faqat, to zikr keeje!
idhar majm'a hai us ke shaaiqeeN kaa!

usee ko chhoRnaa kyoN ab hai mushkil
mujhe chhoRaa naheeN jis ne kaheeN kaa!

ajal, too hee bataa de kyaa hai darmaaN
agar darmaaN bhi hai jaan-e-hazeeN kaa!

tajaahul kis liye? rakh, ai sitamgar
kabhee to kuchch Khayaal apne ameeN kaa!

tamasKhur hai, tamasKhur -- shikva.sanjee
muhabbat ke usool-e-avvaleeN kaa!

Khudaa rakhhe use daa'im salaamat!
ho us par fazl rabb.ul.'aalameeN kaa!

ise kis vaaste duhraaeN paiham?
jo qissa hai dil-e-'uzlat.guzeeN kaa

'iyaadat ko koee aaye, na aaye
karam hai maalik-e-'arsh-e-bareeN kaa!

Khirad pahuNchee hai us manzil pe, jis meiN
gumaaN par hai madaar ab ke yaqeeN kaa!

junooN hee raas aaye to 'ajab kyaa?
muqaddar hee yahee hai mujh la'eeN kaa!

vafaa kee iltijaa par us ne 'naadaaN'
kahaa haNs haNs ke: "haT, paagal kaheeN kaa!"

(JULY 11, 2014 -- ARLINGTON, TX -- USA)







Saturday, February 22, 2014

Ghazal 63: qissa`e Khwesh naheeN, Ghair ki roodaad naheeN




qissa`e-Khwesh naheeN, Ghair ki roodaad naheeN
maa sivaa tere ab is 'ishq meiN kuchch yaad naheeN!

qasba`e-shauq, tamannaa ka nagar, mulk-e-Khayaal!
kaun saa shehr tire zikr se aabaad naheeN!

jis ne ik 'umr guzaaree hai tiree chaahat meiN
maiN vohee banda`e-ulfat hooN! tujhe yaad naheeN?

dehr hai naam usee daam.gah-e-qismat kaa
jis meiN aazaad bhi reh kar koi aazaad naheeN

dil yeh kis vaqt naheeN us ki adaaoN ka qateel!
'aql kab said-e- fusooN.saazi-e-jallaad naheeN!

Gham agar qissa`e-ulfat ka Khulaasa hai, to phir
kyaa 'ajab hai jo yahaaN dil bhi kabhee shaad naheeN!

naala`e-neem.shabee, ashk-e- Gham-e-sub'h.gahee!
tarz-e- izhaar-e-muhabbat hai yeh, faryaad naheeN!

har alam baa'is-e-tajdeed-e 'azaa`im hai mujhe!
kis liye Gham ko maiN samjhooN kih Khudaadaad naheeN?

us ki chaukhaT ka gadaagar hooN, so dunyaa se mujhe
ehtiyaaj-e-karam -o- haajat-e-imdaad naheeN!

'umr bhar, haif, rahaa us se judaa -- jis ke baGhair
chaara`e- dard-e-dil -o- Khaatir-e-naa.shaad naheeN!

maiN na shaa'ir hooN, na 'aalim, na muhaqqiq, na adeeb
ek afvaah hai, jis kee koi buniyaad naheeN!



( FEBRUARY 21, 2014 -- ARLINGTON, TX -- USA )