Sunday, July 08, 2007

Ghazal 53: dil huaa jab se aseer-e-qafas-e-yaad-e-nadeem




dil huaa jab se aseer-e-qafas-e-yaad-e-nadeem
kuchch Thikaana bhi rahaa tera kaheeN, 'aql-e-saleem?

Khalvat-e-jaaN meiN yooN afkaar ki phaile hai shameem
jaise gulshan meiN chale 'itr.fishaaN mauj-e-naseem

ik nazar yaaN bhi to, ai saahib-e-altaaf-e-'ameem!
kyaa faqat Ghair ki Khaatir hi banaa hai tu kareem?

ham.safar koi sar-e-raah-e-vafaa ho kih na ho
saath deta hai hamesha hi miraa 'azm-e-sameem

yeh bhi hai us ke tasavvur ka karishma shaayad
dil javaaN.saal hai, garcheh hai miraa jism saqeem

'ishq kyaa shai hai, bhalaa is se sivaa kyaa kahiye?
hai yahee noor-e-Ilaahee bhi, yahee naar-e-jaheem!

chaara`e-dard kujaa, 'aafiyat-e-qalb kujaa'st?
haif, sad haif -- kih bar.roo-e-zameeN neest hakeem!

chashm-e-nam, soz-e-jigar, dard-e-junooN, daaGh-e-firaaq
har qadam zeest ne baKhshaa mujhe kyaa kyaa na na'eem!

kuchch to ho dil meiN kabhi sabr-o-qana'at ka nizaam
rooh masroor ho, chehra bhi ho Khandaan-o-baseem

kaun kehta hai kih naaloN meiN asar kuchch bhi naheeN?
dekh, pohoNchegi yeh faryaad bhi taa 'arsh-e-'azeem!

mil sakaa kab hai muhabbat ka koi mehram-e-raaz?
varna kehne ko to duniyaa meiN hazaaroN haiN faheem!

hai azal hee se Khumaar-e-mai-e-tauheed mujhe
tishna.kaami ki hai parvaa, na Gham-e-jaam-e-do.neem

daulat-e-faqr dar aan koocha`e-jaanaan ba man ast
Khush.tar az 'ishrat-e- ganjeena`e-maal-o-zar-o-seem!

gosha`e-dil meiN bhi, lab par bhi, Khayaalaat meiN bhi
hai jagah ab koi aisi, voh jahaaN ho na muqeem?

shaa'iri meiN hai go 'naadaaN' mujhe jiddat bhi pasand
hooN magar qaa'il-e-taqleed-e-rivaayaat-e-qadeem!


(JULY 08, 2007 -- ARLINGTON, TX -- USA)




Sunday, February 18, 2007

Ghazal 52: bikhraa hai dil yeh TooT kar ulfat ki raah meiN




bikhraa hai dil yeh TooT kar ulfat ki raah meiN
qaabil hi ban sakaa tha kab us kee nigaah meiN!

kho dee tamaam 'umr sitamgar ki chaah meiN
ya'ani milaa na kuchch bhi mujhe rasm-o-raah meiN

kis kis tarah na guzri sapaid-o-siyaah meiN!
geh ashk meiN kaTee, gahe faryaad-o-aah meiN

hai taab maikade meiN, na dair-o-haram meiN chain
jaaooN to ab ke jaaooN maiN kis kee panaah meiN?

rakhta agar zaraa bhi mohabbat ka voh bharam
kaTtee na zindagi miri yooN ishtibaah meiN!

kyaa kyaa na dil pe 'ishq meiN guzri, na poochhiye!
roodaad kya sunaaooN maiN haal-e-tabaah meiN?

duniya se hai umeed, na apnoN ka 'eitbaar
talKhee bhari hai jab se lab-e-Khair.Khwaah meiN

kahiye zaraa, ab aisi bhi mushkil hai kyaa huzoor
mehr-o-'inaayat-o-karam-e-gaah.gaah meiN?

maiN qaa'il-e-vafaa hooN, voh aamaada`e-jafaa
itnaa bhi farq, kaash, na hota nibaah meiN!

Gham mehvar-e-hayaat hai, Gham markaz-e-hayaat!
seekhaa yehi hai dehr ki is dars.gaah meiN

shams-o-qamar bhi kyaa haiN bhalaa us ke roo.ba.roo!
tamseel us ke husn ki? Khursheed-o-maah meiN?

har manzar-e-hayaat hai 'aks-e-jamaal-e-yaar
hairaaN hai chashm husn ki is jalva.gaah meiN!

"phir jee meiN hai k. dar pe usi ke paRe raheN" (1)
nikle bhi dam to baargah-e-'aali.jaah meiN!

itnee hi fikr-e-zuhd hai 'naadaaN' tujhe, to phir
kar le qayaam jaa ke kaheeN Khaanqaah meiN!

(FEBRUARY 18, 2007 -- ARLINGTON, TX -- USA)

(1) Asadullah Khan "Ghalib"

---
In the zameen of at least 3 Ghazals written by
Ustad 'DaaGh' Dehlvi [1831 - 1905 AD] -- one of which
is as follows:

"tum laakh mujh se parda karo jalvagaah meiN
soorat yeh keh rahi hai kih maiN hooN nigaah meiN"