Friday, October 10, 2003

Ghazal 43: muhabbat rang laayegi, magar aahista aahista




mahabbat rang laayegi, magar aahista aahista
kisi din kar hi legi dil meiN ghar aahista aahista

nazar se jaise mil jaaye nazar aahista aahista
sulag uThtaa hai dil meiN ik sharar aahista aahista

nigaah-e-naaz se us kee, bayaan-e-aaz se apne
nizaam-e-dil huaa zer-o-zabar aahista aahista

zaroor is meiN buree koi Khabar hogi meri Khaatir
yeh Khat jo de rahaa hai naama.bar aahista aahista!

koi aasaaN naheeN hai 'ishq kee manzil ko paa lena
rah-e-ulfat hai, yaaro, pur.Khatar -- aahista! aahista!

kiye jaa tu 'ibaadat aur sile kee kuchch na kar parvaa
du'aa hoti rahegi pur.asar aahista aahista

zaraa kar sabr dehleez-e-vafaa par, ai dil-e-muztar!
khuleNge 'ishq ke bhi baam-o-dar aahista aahista

rumooz-e-jalva.haa`e-husn se maiN tab huaa vaaqif
huaa jab aap hee se be.Khabar aahista aahista

Khudaayaa, daam-e-girdaab-e-junooN se de mafarr, varna
Dubo dega mujhe ab ke bhaNvar aahista aahista!

kaThin hai 'eitbaar is kaa, agarche sunte aaye haiN --
shab-e-Gham kee bhi hoti hai saHar aahista aahista

hujoom-e-Gham meiN bhi haNs haNs ke jeene kaa tujhe, 'naadaaN'
yaqeenan aa hi jaayega hunar aahista aahista

(OCTOBER 10, 2003 - ARLINGTON, TX - USA)







Wednesday, July 09, 2003

Ghazal 42: manzil ka pataa hai, na gila be.Khabari kaa*




manzil ka pataa hai, na gila be.Khabaree kaa
hotaa hai mazaa aur hi kuchch dar.ba.daree kaa

da'ava hai kahaaN mujh ko vasee'.un.nazaree kaa?
mehdood yeh 'aalam hai bahut deedavaree kaa

izhaar na kyoN apni karooN be.hunaree kaa?
juz 'aks naheeN kuchch maiN tiri jalva.garee kaa!

is jaa bhi to kar ek nazar, mere maseehaa!
maiN bhi hooN talabgaar tiree chaara.garee kaa

ik dil hi se kyaa faiz bhalaa, raah-e-vafaa meiN
laazim hai rahe 'azm javaaN har safaree kaa!

zindaan-e-alam bhi hai yeh, kaashaana`e-Gham bhi
ik 'umr se paa.band hooN dil ki nagaree kaa

qismat ka likhaa jo bhi hai, sab mujhko hai manzoor
kyoN Gham ho phir aflaak ki be.daad.garee kaa?

poochhe to aseeraan-e-qafas se koi poochhe
sayyaad ko kyaa 'ilm hai be.baal-o-paree kaa?

gar hai to faqat maut se ummeed-e-rihaa`ee!
shaayad hai 'ilaaj ab yehi aashufta.saree kaa!

ab kuchch to bataa, kyaa tujhe yaad aaye hai 'naadaaN?'
aaKhir hai sabab kyaa tiri miZhgaaN ki taree kaa?

(JULY 09, 2003 - ARLINGTON, TX - USA)

--
(*) Meer Taqi Meer ki zameen meiN






Friday, May 30, 2003

Misc. 1: Na'atiya nazm (tarahi*)




--- part 1 ---
jab se dekhaa aap kaa Khat, dil miraa sarshaar hai
yaad karnaa aapkaa, mujh par baRaa upkaar hai (1)

hai 'inaayat aapki yeh mehr-o-ulfat kaa payaam
kaise keh dooN kis qadar mujh par garaaN yeh baar hai

aap ki "bazm-e-adab" meiN aik "naadaaN" ho shareek !? (2)
fasl-e-gul meiN kyoN kisi ko aarzoo-e-Khaar hai ?

be.takalluf maiN sunaata hooN haqeeqat aap ko,
baat kehne meiN naheeN mujhko zaraa bhi 'aar hai

is zubaaN ki to "alif-be" se bhi maiN vaaqif naheeN
hai agarche sach - mujhe Urdu se be.hadd pyaar hai

tifl-e-maktab se ziyaada hai miree auqaat kyaa
shaa'iri, aur maiN karooN ? mumkin naheeN ! dushvaar hai !

chaahiye is ke liye voh 'aql, voh daanish, voh 'ilm
jo hunar mujh meiN naheeN, aisaa hunar darkaar hai

shaa'iri to aik behr-e-be.karaaN hai, aur phir
hai yeh kashti is taraf, jaana mujhe *us* paar hai !

Na'at gar kehnaa bhi chaahooN maiN to is qaabil kahaaN ?
aik "kaafir" se to yeh ummeed hee be.kaar hai (3)

--- part 2 ---
haaN, zaroor itnaa kahooNga maiN Nabi# ki shaan meiN
aap~ hee ki sunn'atoN se apnaa beRaa paar hai !

reg.zaar-e-dehr meiN jab ho GhamoN ki dhoop tez
aap~ hee ka naam misl-e-saaya`e-deevaar hai !

aap~ ne kee 'umr saari 'ishq-e-yazdaaN par nisaar
aap~ se seekhe koi kyaa 'ishq kaa me'yaar hai !

aap~ kee shafqat ka maiN KhwaahaaN rahooNga, yaa "Rusool"~
jab talak is dam meiN dam hai, taaqat-e-guftaar hai

muKhtasar see baat hai, is se ziyaada kyaa kahooN --
dil sanaa.Khwaan-e-Huzoor-e-Ahmad-e-muKhtaar~ hai



Notes:
(1) - upkaar: Hindi - favor, grace, benevolence.
(2) - "naadaaN": my taKhallus (pen name)
(3) - "kaafir": used here in the sense of any non-Muslim.
~ - [ PBUH ]


(MAY 30, 2003 - ARLINGTON, TX - USA)
-------------

(*) The above nazm was written in response to the following mail.
Note that a Na'at is an ode to Prophet Mohammad and the author
(me) does not belong to the faith. The nazm was written in
less than 2 days because of the late notification and the
urge to reply to this e-mail poetically. A rare occurence indeed.

-----------------------------------------------------
Subject: Short Notice: Bazm-eAdab Houston's Na'atia
Tarhi Mushaira on May 31st
Date: Tue, 27 May 2003 14:08:58 -0500
From: "EXT-Taqvi, Zafar S" < zafar...@... >


Those of you who are in the Houston Area are invited
to attend Bazm-e-Adab's next Mushaira coming Saturday.
This will be our 110th Tarhi event since Bazm-e-Adab
started the tradition of Tarhi Mushairas in 1979.
-----------------------------------------------------

Bazm-e-Adab traditionally organizes two religious tarhi
'adbi mahfil/majlis' annually in addition to 4-5 tarhi
mushairas. During lunar months of Muharram/Safar we
have tarhi musalma (consisting of salams), while in
Rabi-ul-Awwal we have na'atia tarhi mushaira.

Our Na'atia Tarhi Mushaira is slated for Saturday May
31st 9:15PM-12:00 midnight and it will be held at my
house (...., Houston TX 77089, Tel: 281-###-####)

Tarha:

Ba-ise bakhshish sana-e Ahmad-e-Mukhtaar hai

Radeef- hai
Qwafi- mukhtaar, sarkaar, karraar etc

You are cordially invited to the event.

Please note that we are expecting out of town guest
poets and hence will appreciate your RSVP if you are
planning to come and recite.

PLEASE CONFIRM by Thursday 29th.

I will appreciate everyone to arrive a few minutes
earlier to avoid late start.

Zafar Taqvi
Home: 281-###-####
Office: 281-###-###