Wednesday, June 09, 1999

Ghazal 15: kyaa bataaooN kis qadar jeenaa miraa dushvaar thaa




kyaa bataaooN kis qadar jeenaa miraa dushvaar thaa
zindagi ki raah par jab har qadam pur.Khaar thaa!

ibtidaa-e-'ishq meiN dil mustaqil sarshaar thaa
intihaa meiN jaane kyoN har shai se maiN bezaar thaa!

har qadam ashk-e-nadaamat, har nafas aah-o-bukaa
zindagi kee har ghaRi guzri k. jaise baar thaa

shikva`e- be.mehri-e- ahl-e-zamaana kyaa karooN?
"ranj to yeh hai k. maiN apni nazar meiN Khwaar thaa" (1)

kis se kehtaa, kaun suntaa daastaan-e-dard-e-dil?
jab miraa koi shareek-e-Gham, na koi yaar thaa

is se andaazaa lagaayeN dil ke ujRe haal kaa
jo bayaabaaN ab hua hai, yeh kabhi gulzaar tha!

yooN pashemaaN ho ke 'naadaaN' kyaa milegaa - kuchch bataa!
tu ne un kaa dil dukhaaya, jinko tujhse pyaar thaa

(JUNE 09, 1999 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Noor" Shrivastav

Coming soon

Coming soon


Tuesday, June 01, 1999

Ghazal 14: kyaa niraala dehr kaa dastoor hai




kyaa niraala dehr kaa dastoor hai
har koi aa kar yahaaN ranjoor hai

bekas-o-bechaara-o-ma'azoor hai
aadmi to fitratan majboor hai

ibtidaa to 'ishq ki pur-lutf thi
intihaa kyoN dard se bharpoor hai?

DhooNDne par bhi to kuchch milta naheeN
raaz chashm-e-shauq se mastoor hai

maine kyaa dekhaa tha ik jalvaa tiraa
ab talak yeh dil miraa maKhmoor hai

kaash batlaaye koi is kaa sabab
kaun jaane husn kyoN maGhroor hai?

dekh to, pardaa uThaa kar ab zaraa
har taraf phailaa huaa ik noor hai

Khwaab-e-Ghaflat se to ab bedaar ho
dekh, duniyaa barq.zaar-e-toor hai

hai taGhayyur.kesh rang-e-zindagi
bas yehi ik daa'iami dastoor hai

haiN "an al Haqq" kehne vaale be.shumaar
in meiN lekin ek hi "Mansoor" hai (1)

chhoR de vaa'iz, naseehat hai 'abas
log kehte haiN ke "dilli door hai!"

laakh charche ho rahe haiN aaj kal
ab to 'naadaaN' shehr meiN mash_hoor hai

(JUNE 03, 1999 - WICHITA, KS - USA)


(1) Reference to "Mansoor Hallaj" who was hanged
for declaring openly "anal HAQ" (I am the TRUTH),
a very common Sufi concept of mysticism - exploring
the SELF as a means to the Absolute..

Coming soon

Coming soon