Sunday, May 05, 1996

Ghazal 7: tamaashaa-e- 'ilm-o-hunar dekhtaa hooN




tamaashaa-e- 'ilm-o-hunar dekhtaa hooN
'ajab raah-o-rasm -e- bashar dekhtaa hooN

zamaane ko zer-o-zabar dekhtaa hooN
judaa har bashar se bashar dekhtaa hooN

rah-e-zindagi meiN na saathi, na humdum
faqat ek tanha safar dekhtaa hooN

"kabhi ranj-e-duniyaa, kabhi fikr-e-daaman" (1)
muqaddar meiN bas chashm-e-tar dekhtaa hooN

Gham-e-aarzoo se rihaai ki hasrat
yehi aarzoo 'umr bhar dekhtaa hooN

quyood-e-hayaat -o- quyood-e-mohabbat
maiN apne ko be baal-o-par dekhtaa hooN

bhalaa kaun hai vaaqif-e- raaz-e-ulfat?
sabhi ko yahaaN beKHabar dekhtaa hooN

hai pesh-e-nazar chaar.soo husn-e-vehdat
use dekhtaa hooN jidhar dekhtaa hooN!

mujhe jalva`e-toor kee kyaa zaroorat?
k. har samt raqs-e-sharar dekhtaa hooN

vaheeN hoga meraa nishaan-e-jabeeN bhi
jahaaN par tiraa sang-e-dar dekhtaa hooN

jo hai beniyaaz-e-GHam-e-kufr-o-'eemaaN
use vaaqif-e-KHair-o-shar dekhtaa hooN

tujhe be.sabab fikr-e-duniyaa hai 'naadaaN'
yahaaN imtihaan-e-bashar dekhtaa hooN

(MAY 05, 1996 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

Coming soon

Coming soon


Friday, August 11, 1995

Ghazal 6: maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?




maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?
ai hijr-e-yaar, tu hi bataa, teraa kyaa karooN?

yaa rab, tu be.Khabar to naheeN mere haal se
izhaar apne dil ki tamanna ka kyaa karooN?

"ik chashm-e-iltifaat ne insaaN banaa diyaa" (1)
ab qarz is karam ka maiN kaise adaa karooN?

ai yaad-e-raftagaaN, tu kabhi lauT kar na aa
ab hauslaa naheeN k. tiraa saamnaa karooN

raah-e-talab meiN goyaa qayaamat hai har qadam,
maiN is safar meiN kis ko bhalaa rahnumaa karooN?

kaun ab sunegaa shikva-e-duniyaa ki sarguzasht?
Gham haaye dil ke dard kaa kis se gilaa karooN?

majboori-e-hayaat kaa 'aalam na poochiye
Khalvat.kade meiN dehr ke kab tak jiyaa karooN?

naadaaN, sivaa-e-marg naheeN chaara-e-alam
phir 'umr-e-jaavidaaN ki maiN kyoN-kar du'aa karooN?

(AUGUST 11, 1995 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri


Coming soon

Coming soon


Sunday, April 30, 1995

Ghazal 5: 'ilaaj-e- GHam-e-laa davaa chaahtaa hooN




'ilaaj-e- Gham-e-laa davaa chaahtaa hooN
maiN marham nayaa zaKhm kaa chaahtaa hooN

zamaane se 'ahd-e-vafaa chaahtaa hooN
vafaa kar rahaa hooN, vafaa chaahtaa hooN

maiN ik bevafaa se vafaa chaahtaa hooN
"meri saadgi dekh, kyaa chaahtaa hooN" (1)

baRhaa jaata hai dard-e-dil is qadar ab
k. Khud hi se maiN faaslaa chaahtaa hooN

yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN

nadaamat mujhe kyoN ho apne kiye par?
gunahgaar hooN to sazaa chaahtaa hooN!

yeh anjaam-e-ulfat, yeh naakaam hasrat
mujhe kyaa milaa hai ? maiN kyaa chaahtaa hooN!

muhabbat meiN go Khoon-e-dil hai musallam
maiN kyoN jaane raah-e-fanaa chaahtaa hooN

zamaana hai naaraaz kyoN mujhse 'naadaaN?'
zamaane ka maiN kab buraa chaahtaa hooN?

(APRIL 30, 1995 - WICHITA, KS - USA)


(1) Allama "Iqbal"

Coming soon

Coming soon


Tuesday, March 14, 1995

Ghazal 4: 'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa




'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa
haasil-e-Gham ke sivaa kuchch bhi mujhe haasil na thaa

kashti-e-ummeed ko yooN Doob jaana thaa zaroor
chaar.soo hadd-e-nazar tak koi bhi saahil na thaa

dard kaa ehsaas kartaa bhi koi to kis tarah?
jab k. ashkoN meiN mire Khoon-e-jigar shaamil na thaa

Khud mire dil ki tapish ne raakh kar Daala mujhe
"jis ke sar ilzaam aaya, voh miraa qaatil na thaa" (1)

ek ummeed-e-rafaaqat, ik tamanna-e-vafaa
haif, in KhwaaboN ka lekin koi mustaqbil na thaa

chashm-e-nam, soz-e-jigar, dard-e-junooN, daaGh-e-firaaq
itne Gham rehte kahaaN, seene meiN gar ik dil na thaa?

lamha lamha jee rahaa thaa maiN usee kee yaad meiN
voh magar, sad haif! is ulfat ka hee qaa'il na thaa

sabr gar kartaa hooN Gham meiN to 'ajab kyaa is meiN hai?
yooN bhi koi chaara`e- dard-e- dil-e-bismil na thaa

Khoogar-e- aalaam-e-duniya ho gayaa maiN is qadar
'mushkileN mujh par paReeN itni k. kuchch mushkil na thaa' (2)

dard ki yoorish meiN dekho dil kaa 'aalam kyaa huaa
jis ko dil kehte the pehle, ab voh 'naadaaN' dil na thaa

(MARCH 14, 1995 - WICHITA, KS - USA)


(1) "Qateel" Shifaai
(2) "mushkileN mujh par paReeN itni k. aasaaN ho gayeeN" -- Asadullah Khan "Ghalib"

Coming soon

Coming soon


Friday, February 04, 1994

Ghazal 3: qaafila dard kaa har samt ravaaN hai yaaro




qaafila dard kaa har samt ravaaN hai yaaro
jaa.ba.jaa dil ki tapish kaa yeh dhuaaN hai yaaro

kyaa bataayeN k. yahaaN kaisa samaaN hai yaaro?
aaj seene meiN har ik zaKhm javaaN hai yaaro

har nafas aah-e-pareshaaN hai, har nazar faryaad
kaar-e-ulfat meiN sukooN hai to kahaaN hai yaaro?

baaGh-e-armaaN meiN 'ajab gardish-e-mausam dekho
yaa chale sard havaa, yaa to KhizaaN hai yaaro!

kaash gulshan meiN kabhi ab ke baras aaye sabaa
aik muddat se kali ki yeh fuGhaaN hai yaaro

soz-e-Gham, dard-e-jigar, Khoon-e-tamanna har dam
dil pe yeh daur-e-alam kitnaa giraaN hai yaaro!

aik fursat ki ghaRi kee hai justjoo dil ko
kaun batlaaye kahaaN is kaa nishaaN hai yaaro?

chaak-e-dil, laKht-e-jigar chaahe nihaaN hoN ke na hoN
baa'is-e- haal-e-junooN ab to 'ayaaN hai yaaro

apne armaaN ke saraaboN meiN hai 'naadaaN' ab bhi
ab bhi eefaa-e-mohabbat ka gumaaN hai yaaro

(FEBRUARY 05, 1994 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


Saturday, December 19, 1992

Ghazal 2: haal -e- shikast-e-dil ka nazaaraa kare koi




haal-e-shikast-e-dil ka nazaaraa kare koi
mere dukhoN ka kuchch to madaavaa kare koi

har subh aarzoo hai to har shaam hai umeed!
dil ke sukooN ke vaaste kyaa kyaa kare koi?

yaaraa-e-deed chheen le meri nigaah se
yaa ik nazar hi mujh pe, Khudaaya, kare koi

yaa rab, tu hi to hai jo sunegaa du'aa miree
tere baGhair kis pe sahaara kare koi?

gum ho gayaa hooN dasht-e-junooN meiN bhaTak ke maiN
manzil ka meri kaash ishaaraa kare koi!

milte haiN raah-e-zeest meiN vaa'iz hazaar.haa
sun le to kis ki? kis se kinaara kare koi?

zanjeer-e-teergi ki aseeri kahaaN talak?
zulmat.kade meiN sham'a jalaaya kare koi

'naadaaN,' ho kam.naseeb to qismat ki baat hai
ilzaam kyaa kisi pe lagaaya kare koi?

(DECEMBER 19, 1992 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon