Friday, July 05, 2024

Ghazal 79 : taaree hai nashh'a`e- mai`e- 'ishq-e- liqaa-e-gul




taaree hai nashh'a`e- mai`e- 'ishq-e- liqaa-e-gul
bulbul chaman meiN kyoN na ho mehv-e-sanaa-e-gul!

har soo hai zikr-e- nudrat-e- husn-o-adaa-e-gul
goyaa tamaam baaGh hai mid'hat.saraa-e-gul!

kyaa kyaa 'urooj par hai Ghuroor-o-anaa-e-gul!
kitne diloN ko shauq se hai aazmaaye gul!

poshaak-e-surKh oRhe, ba.shakl-e- qabaa-e-gul
'ushhaaq ko, ze raah-e-nazar, varGhalaaye gul!

ahl-e-chaman meiN dekh ke hirs-o-havaa-e-gul
geh naaz se khile hai, gahe muskuraaye gul!

kaisee 'ajab kashish hai kih pehlee hi deed meiN
bulbul ne rakh diya hai dil-o-jaaN ba paa-e-gul

hai kuchh to 'ishq meiN, kih samajhte haiN sab tuyoor
qeemat meiN besh, jaaN se bhi, nirKh-o-bahaa-e-gul

nasreen-o-nastaran se 'alaaqa ho kyoN use?
jis kee nazar meiN heech hai har shai, sivaa-e-gul

haiN fasl-e-nau.bahaar meiN naGhme tuyoor ke
takreem-o-tehniyat ke tahaa'if baraa-e-gul

voh chashm, chashm kyaa, jise fursat ho husn se?
voh qalb, qalb kyaa, jise qat'an na bhaaye gul?

qurbat ki laakh kaavish-o-koshish ke baa.vujood
qismat ne ab ke, dekhiye, kyaa kyaa khilaaye gul!

do din mein Khatm ho gayi jab mohlat-e-shabaab
ruKh soo-e-Khaak karne lage barg'haa-e-gul!

niklee na kis zubaan-e-Gharaz se ba.sad niyaaz?
lekin thi raayegaaN hi du'aa-e-baqaa-e-gul!

gooNjaa chaman meiN, dekh ke ham-suhbat-e-ajal,
shor-e-shikaayat-e-sitam-e-naa.ravaa-e-gul

karb-e-firaaq-e-yaar meiN, taa der, 'andaleeb
rotaa rahaa naseeb ko ba'ad az fanaa-e-gul

taKhreeb-e-dil, halaakat-e- ummeed-o-'eitmaad
honaa bhi kyaa tha aur m'aal-e- vafaa-e-gul?

bhaaree paRaa, gumaaN se bhi baRh kar, Khudaa.gavaah
soorat.parast ban ke, yeh honaa fidaa-e-gul!

yak.saaN har ik chaman meiN hai, har qarn-o-'ahd meiN
roodaad-e- 'aashiqaan-e-gul -o- maajraa-e-gul

kaaNToN hi se ulajhtaa rahaa 'andaleeb-e-zaar
afsos, ho sakaa na kabhee aashnaa-e-gul!


(JULY 05, 2024 -- ARLINGTON, TX -- USA)


A "musalsal Ghazal," in the "zameen" of Mirza Ghalib