Friday, November 22, 2019

Ghazal 74: nafs-e-Khud se aadmee kee jo shinaasaa'ee naheeN




nafs-e-Khud se aadmee kee jo shinaasaa'ee naheeN
kyaa yahee vajh-e-vufoor-e-dard-e-tanhaa'ee naheeN?

hooN is ik qasbe ka maiN paaband majbooran, magar
shukr hai socheN miree qat'an 'ilaaqaa'ee naheeN!

shauq hai is samt se maa'il ba 'arz-e-ishtiyaaq,
gar che us jaanib se ko'ee himmat.afzaa'ee naheeN

'azm mustahkam hai, aage fat'h ho yaa ho shikast
mujh ko raah-e-'ishq meiN manzoor pas.paayee naheeN!

dil ka jhuknaa hee to vaahid bandagee kee hai daleel
laazimee is amr meiN hargiz jabeeN.saa'ee naheeN! :: [ 1 ]

hai ba.juz mulk-e-mahabbat kyaa jagah, jis meiN ko'ee
imtiyaaz-e-rutba`e peeree-o-barnaa'ee naheeN!?

Khaamushee se us ka mere dil meiN kar lenaa qiyaam
aur kyaa hai yeh agar a'ilaan-e-daaraa'ee naheeN!

qalb meiN kuchh, guftugoo meiN kuchh, 'amal meiN aur kuchh
aisi hastee kee maiN suhbat kaa tamannaa'ee naheeN

:: q ::
soch lo dehleez-e-baab-e-'ishq par qabl az qadam!
is se aage 'aql kee sunne meiN daanaa'ee naheeN!

dil ki duniyaa meiN Khirad kaa kaam hai kaar-e-junooN
ya'ani saudaa'ee vohee hai jo kih saudaa'ee naheeN!

tark-e- fikr-e-dahr -o- ahl-e-dahr hai vaajib yahaaN
varna kull mehsool Ghair az daaGh-e-rusvaa'ee naheeN!

raah naa.hamvaar, manzil door, pal pal imtihaan
'aashiquee meiN 'aish-o-raahat!? naa mere bhaa'ee, naheeN!

rah.ravaan-e-jaada`e- pur.pech-o-taab-e- 'ishq meiN,
kaun hai, qismat meiN jis kee aabila.paa'ee naheeN?

yeh voh 'aalam hai, jahaaN nazzaaragee ke vaaste
chaahiye chashm-e-baseerat, mahz beenaa'ee naheeN!
:: ::

go haqeeqat hai kih naakaam-e-tamannaa hai hanoz,
yeh bhi sach hai dil ne, "naadaaN," maat bhee khaa'ee naheeN!


(NOVEMBER 22, 2019 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[ 1 ] ::
ay, ke dar masjed ravee bahr-e-sujood
sar be.jonbad, del na.jonbad -- een che sood?
::
[Molana]

Wikipedia entry on: "Nafs"










Thursday, January 31, 2019

Ghazal 73: kab sune hai voh iltijaa-e-Khuloos?




kab sune hai voh iltijaa-e-Khuloos?
guftgoo dil ki, maajraa-e-Khuloos!

paas us ke hai sab, ba.juz iKhlaas!
aur mire paas kyaa, sivaa-e-Khuloos!

zindagee ke safar ko, marhala.vaar,
sar kiyaa 'azm ne, ba paa-e-Khuloos

voh ta'alluq hi kyaa hai, jis meiN na ho
ibtidaa hee se intihaa-e-Khuloos!

har makaaN 'ishq kaa hai be.buniyaad
gar na qaa'im ho bar binaa-e-Khuloos!

naqd-e-jaaN se bhi kab huee hai adaa
qeemat-e-jins-e-be.bahaa-e-Khuloos!

nay muravvat, na dostee, na vafaa
na voh samjhe hai mudd'aa-e-Khuloos!

jaur, bedaad, zulm, jabr, sitam!
hai yahee haasil-e-jazaa-e-Khuloos!?

na huaa us ke dil pe, haif, kabhee
asar-e-naala`e-rasaa-e-Khuloos!

ta'an-o-tehqeer kaa banaa hai shikaar
ek izhaar-e-barmalaa-e-Khuloos!

qahr se kam naheeN hai us ka 'itaab!
kaun jaa kar use sujhaaye Khuloos!?

:: q ::
aasmaaN kee taraf haiN dast kushaad
aur hoNToN par ik sadaa-e-Khuloos:

"voh salaamat rahe, jahaaN bhi rahe!"
dil se nikle hai yeh du'aa-e-Khuloos
:: ::

'asr-e-haazir meiN hai vohee bad.naam
jis se sarzad hu'ee Khataa-e-Khuloos!

koi doojaa bhi ab mile hai kahaaN
saakin-e-shehr-e-pur.fizaa-e-Khuloos?

hai ta'ajjub, kih voh zaraa bhi naheeN
vaaqif-e-tarz-e-sheva'haa-e-Khuloos!

vasf aisa bashar meiN hai hi kahaaN
jis ko kahiye kih hai varaa-e-Khuloos?

dil bhi 'naadaaN' -- usee ke Gham meiN hai qaid
jis ki fitrat hi ko na bhaaye Khuloos!

(JANUARY 31, 2019 -- ARLINGTON, TX -- USA)