Wednesday, September 07, 2016

Ghazal 69: go hai aamaaj.gah-e-teer-e-sitamgar mira dil




go hai aamaaj.gah-e-teer-e-sitamgar mira dil
phir bhi iKhlaas-o-mahabbat ka hai masdar mira dil

ek hee kull ke haiN juzv-e-mutaqaabil, donoN
"rasm-e-duniyaa zada maiN, aur qalandar mira dil" :: 1 ::

ahl-e-minbar ke gile, ahl-e-sanam.Khaana ke tanz
vaar par vaar sahe jaata hai aksar mira dil

markaz-e-ishq hai yeh, qibla`e-eemaan-o-vafaa
ho to duniyaa ki nigaahoN meiN ho kaafar mira dil! :: 2 ::

hai yaqeenan asar-e-shauq, kih jaltaa hai mudaam
jism meiN, soorat-e-Khursheed-e-munavvar, mira dil

kar ke ulfat meiN nayee ik ravish-e-Khaas eejaad
Khud huaa maalik-e-saamaan-e-muqaddar mira dil!

naqd-e-Gham, daulat-e-eezaa, diram-e-furqat-o-yaas!
kaar-e-ulfat meiN hai, kyaa Khoob, tavangar mira dil!

Gham kaheeN bhee ho, taRaptaa hai yahaaN qalb miraa!
dukh kisee kaa bhi ho, rotaa hai baraabar mira dil!

keemiyaa is ko kahooN yaa kih fusooN.saazi-e-'ishq?
ban gayaa mom.sifat, thaa jo yeh pathhar mira dil!

:: q ::
fikr-e-tanqeed, na kuchch Khauf-e-malaamat hai mujhe
bahr-e-ulfat ka huaa jab se shinaavar mira dil

be.niyaazeee ko takabbur ka hai 'unvaan Ghalat
na hi Khud.beeN, na Khud.aaraa hai, na Khud.sar mira dil!

muKhtasar yeh, kih huaa 'ishq ki n'emat ke tufail
har museebat ka, rah-e-zeest meiN, Khoogar mira dil!
:: ::

koocha`e-yaar se shaayad guzar aayee hai sabaa
kis liye varna hai is darja mu'attar mira dil?

kar diyaa mujh ko supurd-e-rah-e-sehraa-e-junooN
ik usee ne, ba.Khudaa -- jis ka huaa ghar mira dil

'ishq meiN us ke bhalaa kyoN na ho qurbaaN meri jaaN?
husn par us ke na kyoN.kar ho nichhaavar mira dil?

'aql-o-hosh-o-Khirad-o-fehm ki manzil se pare
le ke aayaa hai mujhe ab yeh kahaaN par mira dil?!

Khud.faraamoshi ki kyaa jaa hai yeh 'naadaaN', kih jahaaN
mahv-e-hairat hai nazar, aur hai shashdar mira dil!


(SEPTEMBER 07, 2016 -- ARLINGTON, TX -- USA)


:: 1 ::
This line is by my friend Ali Minai, though my Ghazal above has a modified, less-restrictive qaafiya-set.
Ali's Ghazal can be heard here: https://youtu.be/hNoZL8EmUG0?t=2m22s

:: 2 ::
The usage of "kaafar" (pronunciation) necessitated by "zaroorat-e-sh'eri."
Precedent for this by poets:

Ghalib:
"hadd chaahiye sazaa meiN 'uqoobat ke vaaste
aaKhir gunaah.gaar hooN, kaafar naheeN hooN maiN"

Ghalib:
"chhoRooNgaa maiN na us but-e-kaafar ka poojnaa
chhoRe mujhe na Khalq go kaafar kahe baGhair!"

Jagannath Azad:
"kuchch log musalmaaN ko bhi keh dete haiN kaafar
ham haiN kih jo kaafar ko bhi kaafar nahiN kehte"






Wednesday, January 06, 2016

Ghazal 68: GhairoN se uns, ham se 'adaavat ravaa bahut?




GhairoN se uns, ham se 'adaavat ravaa bahut?!
hadd paar kee hai us ne ba.tarz-e-jafaa bahut!

ik be.vafaa ne ham se hai chaahee vafaa bahut
insaaf kaa 'ajab hai yahaaN maajraa bahut!

kibr-o-Ghuroor, Ghamza-o-naaz-o-adaa bahut!
taKhreeb-e-dil ko kab na voh taiyaar thaa bahut?

kis roz ham ne us se na kee iltijaa bahut!
kis din na dard-e-hijr ki maangee davaa bahut!

kab ham pe baab-e-'atf kiyaa us ne vaa bahut?
kab pesh-e-yaar ham na the be.dast-o-paa bahut?

poochhe hai voh kih "'ishq hai ham se?" -- "ajee huzoor,
be.shak! bilaa.mubaaliGha! be.intihaa! bahut!"

zillat bhi, sarzanish bhi, tanaffur bhi, taish bhee
jhelaa hai dil ne 'ishq meiN karb-o-balaa bahut!

chhooTaa jo us ka saath to phir ham bhi rah gaye
vehshat.saraa-e-dehr meiN be.aasraa bahut!

haazir hai jaaN bhi, gar hai yahee qeemat-e-visaal
ham ko naheeN yeh fikr kih kyaa kam hai, kyaa bahut

sad.shukr, dil meiN hai Gham-e-furqat ke baa.vujood
ik yaad-e-yaar, jo kih hai raahat.fizaa bahut!

:: q ::
laa.raib us ke 'ilm meiN hai keemiyaa.garee
ham par to ho chukaa asar-e-keemiyaa bahut!

mast-e-sharaab-e-naab-e-mahabbat hai, dekhiye!
voh dil, tha faKhr jis pe kih hai paarsaa bahut!
:: ::

sun kar kalaam lutf bhi us ne liyaa, magar
samjhaa kahaaN voh, jo hai ahamm mudd'aa bahut!

is daur meiN Khuloos ka, 'naadaaN,' yeh tazkiraa!?
kyoN.kar kahe na koi tujhe sar.phiraa bahut!


(JANUARY 06, 2016 -- ARLINGTON, TX -- USA)