Tuesday, June 16, 2015

Ghazal 66: yeh saudaa, kyaa Khabar thee is tarah kartaa mujhe majnooN!





yeh saudaa, kyaa Khabar thee is tarah kartaa mujhe majnooN!
banaataa qalb ko dozaKh, bahaataa chashm se JaihooN!

na poochho qatl.gaah-e-jism meiN us pal ka sannaaTaa
tamannaa'eN hueeN jis dam Ghareeq-e-qulzum-e-pur.KhooN!

samajh hee meiN naheeN aataa kahaaN hai ibtidaa is kee
bayaaN kyaa keejiye afsaana`e-karb-e-dil-e-mahzooN!

binaa-e-zeest gar Gham hai to phir Gham se mafarr kaisaa!
magar ik marg hai, jo hai davaa-e-dard-e-roz.afzooN

davaat-e-'ishq -o- qirtaas-e-Khuloos -o- kilk-e-haqq.go'ee
baham gar hoN, to hotaa hai har ik harf-e-suKhan mauzooN

vohee ik fard hai taa haal mere Gham se naa.vaaqif
hai jis par har Ghazal meree, hai jis par mera har mazmooN!

'ajab kyaa, zindagee gar mustaqil be.rang hee Thehree?
kahaaN baKht-e-siyah meraa, kahaaN voh 'aariz-e-gul.gooN!

na hotaa dard to kis shai ko kehtaa 'umr kaa haasil?
yahee bas ik mazaar-e-Khaak, zer-e-gunbad-e-gardooN!?

gadaa-e-koo-e-Khairaat-e-muhabbat kyaa bhalaa kartaa
ba.juz vird-e-sifaat-e-yaar -o- tehqeer-e-jahaan-e-dooN!

sharaab-e-'ishq se pur saaGhar-e-dil ho, to bhaataa hai
na shaan-o-shaukat-e-"Qaisar," na maal-o-daulat-e-"QaarooN"

Khulaasa yeh kih hooN voh rind jis ke vaaste, 'naadaaN'
hai zikr-e-dost hee nashsha, hai fikr-e-yaar hee afyooN!


(JUNE 16, 2015 -- ARLINGTON, TX -- USA)


nazr-e-Maulana Jalaal.ud.deen Muhammad BalKhee Room (Rumi):

cheh daanist.am kih een saudaa ma raa z'een saan kunad majnoon?
dil.am raa dozaKhee saazad, do chashm.am raa kunad Jaihoon!