Tuesday, December 23, 2014

Ghazal 65: voh zaKhm-e-dil, kih jis ka naheeN indimaal bhee




voh zaKhm-e-dil, kih jis ka naheeN indimaal bhee
vaahid hai Gham.shinaas bhi, aagaah-e-haal bhee

tool-e- shab-e-firaaq ka har zikr hai 'abas
qismat meiN gar likhee na ho sub'h-e-visaal bhee

sau shikve, sau gile haiN, magar kis ko yeh majaal
us ke huzoor laaye jo lab par soʼaal bhee! :: 1 ::

aaNkheN supurd-e-ashk to jaaN nazr-e-soz-e-'ishq
shiddat bhi dhoop kee hai yahaaN, barsh.kaal bhee!

sar meiN junooN, jigar meiN Khalish, dil meiN fart-e-Gham
is 'ishq meiN kahaaN hai bhalaa 'eitdaal bhee!

:: q ::
juz 'ishq -- hai jahaaN meiN koi shai, jo ek saath
aafat bhi, qehr bhee hai, balaa bhee, vabaal bhee!?

vaajib hai shukr-e-n'emat-e-parvardigaar-e-kull
is haadise se bachiye agar baal baal bhee!
:: ::

rehtaa na darmiyaaN yeh 'man-o-tu' ka faasila
rakhtaa na voh agar hunar-e-infisaal bhee!

voh kyaa gayaa kih saath gayee ek kaa'inaat!
kahiye kise, kih ab nahiN pursaan-e-haal bhee!

kyaa e'itinaa? kahaaN ka karam? kaisa iltifaat?
yooN hee naheeN hai dehr meiN qaht.ur.rijaal bhee!

kuchch to ho zabt, kuchch to hayaa, kuchch to iKhtiyaar!
ai qalb-e-zaar, Khud ko zaraa to saNbhaal bhee!

hai jism naa.tavaaN, magar is jism par na jaa!
rakhtaa hooN apne paas dil-e-Khurd.saal bhee!

us kee yagaanagee ka voh 'aalam, kih koi aur
us saa kahaaN se laayeN ba.taur-e-misaal bhee?

karte haiN sijde pesh-e-dar-e-husn-e-dil.navaaz
arbaab-e- zeb-o-zeenat -o- jaah-o-jalaal bhee!

jab saamne ho maikada`e-jalva`e-habeeb
arzaaN hai zikr-e-kausar -o- aab-e-zulaal bhee!

manzil ik aur raah-e-mahabbat meiN hai zaroor
bairoon-e- hadd-e- daa'ira`e-ehtimaal bhee!

anjaam thaa jo Waamiq-o-Farhaad-o-Qais kaa
kaar-e-junooN meiN hai vohee apnaa ma'aal bhee!

:: q ::
ai daad.Khwaah-e-tarz-e-tafakkur, zaraa Thehar!
tujh meiN kaheeN hai ek achhootaa Khayaal bhee!?

'naadaaN,' riyaaz-o-mehnat-o-takleef ke baGhair
aataa naheeN hai auj pe saahib.kamaal bhee!
:: ::

(DECEMBER 23, 2014 -- ARLINGTON, TX - USA)


:: 1 ::
shaayad SheiKh Sa'adi ke is mash'hoor sh'er se Ghair.sha'oori taur par muta'sir (go kih mazmoon zaraa muKhtalif hai):

gofteh boodam cho ba_yaa'ee, Gham-e-dil baa to ba.gooyam
cheh ba.gooyam, kih Gham az dil ba.ravad chon to be_yaa'ee!

[Sa'adi]