Tuesday, November 22, 2011

Ghazal 61: daaGh-e-firaaq-e-yaar hai vajh-e-qalaq hanoz




daaGh-e-firaaq-e-yaar hai vajh-e-qalaq hanoz
letaa hooN dars-e-'ishq se Gham kaa sabaq hanoz

har shab shab-e-malaal, har ik subh subh-e-yaas!
y'aanee sukooN ka dil hai kahaaN mustahaqq hanoz?

us kaa Khayaal, us ka tasavvur, usee ki fikr!
pur yooN bayaaz-e-dil hai varaq.dar.varaq hanoz

voh saath thaa, to saath rahaa mausam-e-bahaar!
voh kyaa gayaa kih rang-e-gulistaaN hai faqq hanoz!

Khoon-e-amal, halaakat-e-armaaN, shikast-e-'azm
paidaa kare hai ashk ba.rang-e-shafaq hanoz

hai mudd'aa kih yoorish-e-andoh-e-hijr se
daaman hai taar taar, kalejaa bhi shaqq hanoz

karta hai qatl bhee to voh kis Khush.dilee ke saath!
abroo meiN bal hai kuchch, na jabeeN par 'araq hanoz!

minnat ke, iltijaa ke, samaajat ke baa.vujood
badlaa na tab'a`e-yaar ka nazm-o-nasaq hanoz

Ghaalib ho teeragi bhi to hai saaf zehn meiN
mafhoom-e- "qull a'uozu bi-rabb.al.falaq" hanoz! (1)

josh-e-junoon-e-'ishq ne aasaan kar diyaa
voh kaam jo Khirad ke liye hai adaqq hanoz

us husn-e-be.misaal pe 'naadaaN' hai dil nisaar
"raushan haiN jis ke faiz se chaudah tabaq hanoz!" (2)


(NOVEMBER 22, 2011 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) Surat al-Falaq [Sura 113]


(2) Ameer Ali Khan "Yaseer" Kurnooli





Sunday, February 06, 2011

Ghazal 60: (na'atiya) huaa hai ifshaa yeh raaz mujh par ...




huaa hai ifshaa yeh raaz mujh par, sabab hai kyaa dil ki bekali kaa
na jaane kis din milega mauq'a javaar-e-rehmat meiN haaziri kaa

unheeN* ki nisbat se ho rahaa hai yeh dar bhi vaa 'ilm-o-aagahi kaa
hayaat jin kee hai dars-e-ulfat, sabaq hai eesaar-o-bandagi kaa

Ghuroor hai jis ko maal-o-zar par, voh jis ko hai z'am Khusravi kaa
kabhee to un* kee galee meiN jaaye, mazaa to chakkhe gadaagari kaa

rumooz-e-haqq ke vohi* haiN mehram, payaam-e-haqq haiN vohi* mujassam
vohi* mukarram, vohi* mu'azzam, hai jin pe eemaaN har ummati kaa

kamaal-e-Khallaaq zaat un* kee, razaa-e-razzaaq baat un* kee
har ik jihat se hayaat un* kee nisaab-e-kaamil hai muttaqi kaa

sabaa se koi to aaj kah de naved-e-shehr-e-jameel laa de
vagarna gulzaar-e-dil meiN ab to har ek gul kaa hai rang pheekaa

kalaam-e-tafreeq-e-haqq-o-baatil, kiyaa jahaaN ne unheeN* se haasil
haiN jab vohee* rahnumaa-e-manzil to phir kise Khauf gumrahi kaa?

huzoor-e-vaala* ki shaan-e-aqdas ka tazkiraa gar naheeN to 'naadaaN'
na guftgoo kaa hai koi matlab, na koi maqsad hai shaa'iri kaa

(FEBRUARY 05, 2011 -- ARLINGTON, TX -- USA)


For the Al-Noor International Na'atiya mush'aira.
Sadr: Raf'eeuddin Raaz (Pakistan)
Guests: Nazeer Baaqri (India), Khalid Khwaja (Houston)

* [PBUH]