Saturday, May 15, 2010

Ghazal 59: har aan nayaa zaKhm, na`ee seena.zani hai




har aan nayaa zaKhm, na`ee seena.zanee hai
ai qahr-e-Gham-e-hijr, miri jaaN pe banee hai

andoh-o-mihan, ranj-o-alam, tuhmat-o-bohtaan
kyaa dil ki tijaarat meiN yahi aamadanee hai?

jis shaKhs ko ik deed bhi teri ho mayassar
mas'ood hai, Khush.baKht hai, qismat ka dhanee hai!

kartaa hai tiri baat ka yeh dil to bharosa
sabr.aazmaa lekin tiri paimaaN.shikanee hai!

ik vasl ki hasrat hai, so voh dil meiN hai pinhaaN
us cheez ka kyaa zikr k. jo naa.shudanee hai?

pazhmurda shajar, zard kalee, shaaKh bureeda
gulshan meiN 'ajab manzar-e-be.pairahanee hai

us shehr ka saakin hooN jahaaN hasb-e-qavaaneen
jo taalib-e-haqq hai vohi gardan.zadanee hai!

maiN shefta`e-Khaak-e-rah-e-qarya`e-jaanaaN!
duniyaa ko gumaaN yeh k. muhibb.ul.vatanee hai!

hai zaKhm ki, taKhmeena`e-'aashiq meiN, voh vaq'at
jo besh.tar az qadr-e-'aqeeq-e-Yamanee hai!

kehtaa hai Khud apne ko baRe faKhr se insaan
voh, jis ka har ik chaal chalan ahramanee hai!

kis tarh'a asar laaiye har sh'er meiN 'naadaaN?'
«yeh kaar-e-suKhan silsila`e-Kohkanee hai» (1)

(MAY 15, 2010 -- ARLINGTON, TX -- USA)


(1) Syed "Ansar"