Friday, August 21, 2009

Ghazal 57: raushan kuchch is tarah yeh dil-e-daaGh.daar ho




raushan kuchch is tarah yeh dil-e-daaGh.daar ho
tazkeer-e- shaan-o-satvat-e-parvardigaar ho

jis rah pe maiN chalooN, voh guzar.gaah-e-yaar ho
har mazhar us ke husn ka aa`eena.daar ho

yooN zindagi davaam miree pur.vaqaar ho
"meri jabeeN pe naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar ho"

taqleed-e-Haqq ka 'azm miraa ustuvaar ho!
dil ko sukoon, rooh ko paiham qaraar ho

jis dil ka 'ishq-e-yaar pe daar-o-madaar ho
naam us ka kyoN na phir bhala shehr-e-nigaar ho?

shauq-e-visaal -o- Khwaahish-e-taskeen-e-bandagi
mutlaq na in se dil kabhi Ghaflat.shi'aar ho!

us mai ka, jaane kab se hai, shiddat se intizaar
'uqbaa ka jis meiN kaif-o-suroor-o-Khumaar ho

fikr-e-qubooliyat ki zaroorat hi kis liye?
dast-e-du'aa ko chaahiye sargarm-e-kaar ho

aaye qazaa ka vaqt bhi, 'naadaaN', agar qareeb
lab par usee ka naam ba.sad iftiKhaar ho

(AUGUST 14, 2009 -- ARLINGTON, TX -- USA)

[ tarahi misr'a: Syed Haneef Akhgar Maleehabaadi
"meri jabeeN pe naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar ho" ]




Sunday, May 31, 2009

Ghazal 56: sunaa voh shaKhs harjaai bahut hai!




sunaa voh shaKhs harjaai bahut hai!
vohee, dil jis ka shaidaai bahut hai!

koi poochhe to maiN kaise bataaooN?
tabee'at us pe kyoN aai bahut hai!

rah-e-ulfat naheeN hai sehl, ai dil!
kih is meiN aablaa.paai bahut hai

use nisbat hi kyaa hai 'aashiqui se
voh, jis ko Khauf-e-rusvaai bahut hai!

haqaarat se sahee, dekhaa to us ne!
hameN itnee pazeeraai bahut hai!

hujoom-e-dostaaN meiN hooN akelaa!
bharee mehfil meiN tanhaai bahut hai!

muhabbat meiN Khushee se bhee hooN vaaqif
GhamoN se bhee shanaasaai bahut hai

voh kyoN haiN jaada`e-irfaaN se Ghaafil?
ba.zaahir jin meiN daanaai bahut hai!

yeh maana, naa.tavaaN hai jism mera
valekin dil meiN barnaai bahut hai!

jahaaN naqsh-e-kaf-e-paa us ka paaya
vaheeN par kee jabeeN.saai bahut hai

tareeq-e-'ishq meiN 'naadaaN' hai yaktaa
magar haaN, voh to saudaai bahut hai!


(MAY 30, 2009 -- ARLINGTON, TX -- USA)


[ tarahi misr'a: 'Waseem' Barelvi
"yeh duniyaa maine Thukraai bahut hai" ]