Saturday, December 20, 2008

Ghazal 55: gila kyaa, gar naheeN miltaa hai manzil kaa nishaaN mujhko




gila kyaa, gar naheeN miltaa hai manzil kaa nishaaN mujhko
nishaat.aavar hai aavaaz-e-raheel-e-kaarvaaN mujhko

voh, jis se ho sake haasil suroor-e-jaavidaaN mujhko
koi aisa pilaa de jaam, ai peer-e-muGhaaN, mujhko

yeh duniya, be.vafaa duniya, vafaa naa.aashnaa duniya!
bhalaa miltaa bhi kyaa is meiN rafeeq-o-raazdaaN mujhko!

na jaane ab talak voh shaKhs kyoN hai bad.gumaaN mujh se
naheeN jis ke sivaa koi Khayaal-e-een-o-aaN mujhko

kahaaN haiN din voh bachpan ke, kahaaN voh pal laRakpan ke?
lage hai ab mata'a-e-'umr raKhsh-e-be.'inaaN mujhko!

gulistaan-e-jahaaN meiN hooN bisaan-e-barg-e-aavaaraa
"Khudaa jaane kahaaN le jaaye ab baad-e-KhizaaN mujhko"

ta'alluq dair se, rishta haram se hai, to bas itnaa --
musalsal looTa jaata hai inheeN ke darmiyaaN mujhko

"rumooz-e-jalva.haa-e-husn se maiN Khoob vaaqif hooN" (1)
nazar aata hai har soo us ka sang-e-aastaaN mujhko

zameen-e-Mus'hafi meiN keh to dee maine Ghazal, 'naadaaN'
Khabar kis ko, kahenge kya suKhan ke qadr.daaN mujhko!

(DECEMBER 20, 2008 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) "Raaz" Chandpuri

misr'a-e-tarah [** in the zameen of Mus'hafi ]:
"Khudaa jaane kahaaN le jaaye ab baad-e-KhizaaN mujhko"

for a telecon-mush'aira (Sat 12/20/2008) between:
Dallas/Houston/Oklahoma City.

(sadaarat: Janaab Haneef 'Akhgar' Maleehaabadi
naazim: Janaab Hammad Hasan, Houston - Gahvaara-e-Adab)

** NOTE:
We were given this line as the "tarah" and told it was written
by Mus'hafi. Subsequent research into a 11 volume set of Mus'hafi
shows 2 Ghazals of Mus'hafi in the same zameen, but this line does
not appear in either.

It is possible that someone did say a Ghazal based on Mus'hafi, and
the line given to us was incorrectly attributed.




Thursday, September 25, 2008

Ghazal 54: us husn-e-balaa.Khez ki voh hosh.rubaa yaad!




us husn-e-balaa.Khez ki voh hosh.rubaa yaad!
aataa hai kaheeN dil ko kuchch is ke bhi sivaa yaad?

masjid ki azaaN ab na hai mandir ki nidaa yaad
kuchch ham ko naheeN 'ishq meiN juz raah-e-fanaa yaad

duniyaa ki Khabar koi, na Khud apna pataa yaad
hairat hai, yeh kis taur se deti hai daGhaa yaad!

sarmaaya`e-'ishrat bhi hai, saamaan-e-alam bhi,
n'emat kabhi hoti hai, kabhi ek balaa - yaad

hoga voh rah-e-zeest meiN kyoN.kar na sar.afraaz?
har gaam ho jis ko sabaq-e-sidq-o-safaa yaad

vaaraftagi, barbaadi, junooN, hashr, qayaamat!
ik bekasi-e-hijr meiN kyaa kyaa na huaa yaad!

dil shaam-o-sahar jis ko bujhaane meiN hai masroof
kyoN deti hai aaKhir usi aatish ko havaa yaad?

kehta hai jahaaN naaz-o-adaa jis ko 'umooman
ham ko hai vohi cheez ba.'unvaan-e-jafaa yaad!

paas un ke gaye jab bhi kabhi bahr-e-taKhaatub
aani thi usi vaqt unheN sharm-o-hayaa yaad?

ham ko bhi kahaaN un se vafaa kee hai tavaqq'o!
un ko bhi hai kab sheva`e-arbaab-e-vafaa yaad!

itnaa bhi naheeN sehl use dil se miTaana
bhooleN bhi to kaise use, jis par hai fidaa yaad?

ho jaata hai aksar hameN voh dard gavaara
jis dard ko pehnaati hai Khush.rang ridaa yaad

duniyaa ke manaazir bhi dil.aavez haiN, lekin
duniya ki judaa yaad hai, us kee hai judaa yaad!

lete haiN museebat meiN sabhi us ka sahaara
aasaa'ish-o-aaraam meiN kis ko hai Khudaa yaad?

iKhlaas naheeN teri 'ibaadat meiN to, 'naadaaN'
kis vaaste karta hai tu phir harf-e-du'aa yaad!

(SEPTEMBER 25, 2008 - ARLINGTON, TX - USA)

"duniya ke sitam yaad na apni hi vafaa yaad
ab mujh ko naheeN kuchh bhi muhabbat ke sivaa yaad"
[ Jigar Muradabadi ]