Saturday, August 05, 2006

Ghazal 51: ho ke rusvaa bhi tire dar se agar jaaooNga*




ho ke rusvaa bhi tire dar se agar jaaooNga
Khud ko badnaam sahi, naam to kar jaaooNga!

roz-o-shab maatam-e-Gham, shaam-o-sahar ashk-e-junooN
kyaa Khabar thee kih yooN be.maut hi mar jaaooNga!

saKhti-e-raah-e-mahabbat naheeN haa'il mujh ko
ThokareN khaa ke maiN kuchch aur saNvar jaaooNga

haif! taa 'umr mu'amma hi rahaa raaz-e-hayaat
be.Khabar aaya tha, mehroom-e-Khabar jaaooNga

dair-o-ka'aba tire, sehra tira, mai.Khaana tira
uTh ke mehfil se tiree aur kidhar jaaooNga?

paa.ba.gil hooN, magar afkaar ki quvvat ke tufail
az zameeN, dekhiye, taa shams-o-qamar jaaooNga!

zindagee tak hi to mehdood hai yeh 'ilm-o-sha'oor!
aur phir le ke kahaaN naqd-e-hunar jaaooNga?

"dehr juz jalva`e-yaktaai-e-ma'ashooq naheeN" (1)
deed kar looNga usee kee, maiN jidhar jaaooNga!

sach to yeh hai kih hooN parwarda`e-altaaf-e-nadeem
is haqeeqat se maiN kis tarh'a mukar jaaooNga?

vajd kaa aur hi 'aalam hai, suna hai 'naadaaN'
'aalam-e-hosh-o-Khirad se jo guzar jaaooNga


(AUGUST 05, 2006 -- ARLINGTON, TX -- USA)

(1) Asadullah Khan 'Ghalib'

--
* Written for a radio "tarahi musha'ira" held in memory
of Ahmad Nadeem Qaasimi [20 Dec. 1916 - 10 Jul. 2006]
Excerpts read on air (July 16, 2006)

tarah: "maiN to dariya hooN, samandar meiN utar jaaooNga"