Thursday, November 03, 2005

Ghazal 49: kabhi aah-o-fuGhaaN lab par, kabhi faryaad hoti hai




kabhi aah-o-fuGhaaN lab par, kabhi faryaad hotee hai
muhabbat meiN, Khudaaya, zindagee kab shaad hotee hai?

mata'a-e-zeest meree aur kuchch barbaad hoti hai
shab-e-furqat ki jab jab dil meiN taaza yaad hotee hai

sunaa karta hooN taqreereN faqeeh-e-shehr kee jab bhi
na jaane kyoN tabee'at maa'il-e-ilhaad hotee hai!

Ghaneemat hai jo aise meiN mile ik bhi Khushee mujh ko
hazaaroN meiN GhamoN kee dil meiN jab ta'adaad hotee hai

hai mere dil meiN tu har pal, magar itna bataa -- tujhko
kabhee meri Khabar bhee, ai sitam.eejaad, hotee hai?

qafas kaa garcheh 'aadee hai dil-e-dard.aashnaa mera
bahut jaaN.soz phir bhee Ghaflat-e-sayyaad hotee hai

gahe mahjoori-e-ulfat, gahe majboori-e-haalat!
kahaaN tak dil ki bastee, dekhiye, aabaad hotee hai!

Khudaa ma'aloom, vaqt-e- zikr-e-naakaami-o-rusvaa`ee
zubaan-e-dehr par meree hi kyoN roodaad hotee hai!

bhalaa voh dil hi kyaa, mehr-o-muravvat se jo ho Khaali?
bhalaa voh fikr kyaa, jis kee anaa buniyaad hotee hai?

baRaa pur.haul hai manzar tamaashaa.gaah-e-'aalam kaa
jidhar dekhooN, udhar be.daad hee be.daad hotee hai!

kaTee go mushkiloN se chaar din ki zindagee, 'naadaaN'
chalo acchha huaa, ab Khatm yeh mee'aad hotee hai!


(NOVEMBER 03, 2005 - ARLINGTON, TX - USA)