Friday, October 10, 2003

Ghazal 43: muhabbat rang laayegi, magar aahista aahista




mahabbat rang laayegi, magar aahista aahista
kisi din kar hi legi dil meiN ghar aahista aahista

nazar se jaise mil jaaye nazar aahista aahista
sulag uThtaa hai dil meiN ik sharar aahista aahista

nigaah-e-naaz se us kee, bayaan-e-aaz se apne
nizaam-e-dil huaa zer-o-zabar aahista aahista

zaroor is meiN buree koi Khabar hogi meri Khaatir
yeh Khat jo de rahaa hai naama.bar aahista aahista!

koi aasaaN naheeN hai 'ishq kee manzil ko paa lena
rah-e-ulfat hai, yaaro, pur.Khatar -- aahista! aahista!

kiye jaa tu 'ibaadat aur sile kee kuchch na kar parvaa
du'aa hoti rahegi pur.asar aahista aahista

zaraa kar sabr dehleez-e-vafaa par, ai dil-e-muztar!
khuleNge 'ishq ke bhi baam-o-dar aahista aahista

rumooz-e-jalva.haa`e-husn se maiN tab huaa vaaqif
huaa jab aap hee se be.Khabar aahista aahista

Khudaayaa, daam-e-girdaab-e-junooN se de mafarr, varna
Dubo dega mujhe ab ke bhaNvar aahista aahista!

kaThin hai 'eitbaar is kaa, agarche sunte aaye haiN --
shab-e-Gham kee bhi hoti hai saHar aahista aahista

hujoom-e-Gham meiN bhi haNs haNs ke jeene kaa tujhe, 'naadaaN'
yaqeenan aa hi jaayega hunar aahista aahista

(OCTOBER 10, 2003 - ARLINGTON, TX - USA)