Friday, October 12, 2001

Ghazal 35: vohi raat-din ka malaal hai, vohi roz-o-shab ka vabaal hai




vohi raat din ka malaal hai, vohi roz-o-shab ka vabaal hai
vohi subh-o-shaam ki ranjisheN, vohi aashiqi ka ma'aal hai!

na voh qurbatoN ke haiN silsile, na voh qalb-e-zaar meiN valvale
na hi sehn-e-dil meiN haiN gul khile k. yeh baar-e-Gham se niDhaal hai

mire vaaste hi yeh Gham hai kyoN? hai Khushi agar bhi to kam hai kyoN?
yeh hamesha ranj-o-alam hai kyoN? mire lab pe aaj savaal hai!

mire Gham ka mujhko naheeN gilaa, k. yehi to 'ishq ka hai silaa
pai maiN kyaa karooN dil-e-mubtilaa k. ik 'umr hee se yeh haal hai

go aseer-e-kulfat-o-Gham bhi hooN, go raheen-e-ranj-o-alam bhi hooN
mira dil to phir bhi hai mutma'in, isi Gham meiN phir bhi nihaal hai

huaa jab se mast-e-mai-e-vilaa, naheeN mujhko hosh ka kuchch pataa
hai Khabar mujhe kisi aur kee, na Khud apna kuchch bhi Khayaal hai

mira dil jo aaj hai naGhma.zan, huaa sabza.zaar jo yeh chaman
to yaqeeN kareN sar-e-anjuman ab usee ka zikr-e-jamaal hai!

tiri yaad hai mujhe mustaqil, k. churaa gayaa hai tu zehn-o-dil
miri chaahatoN ki bhalaa bataa, kahaaN is se baRh ke misaal hai?

tujhe DhooNDtaa bhi to ab kahaaN ? k. yahaaN hai tu na hai tu vahaaN!
magar ab bhi yooN k. dil-e-tapaaN ko tujhee se shauq-e-visaal hai

mai-e-naab laa mire saaqiyaa, na ho is qadar tu gurez.paa
tire oak se jo na pee sakaa to yeh zindagi bhi muhaal hai!

tiri har nazar hai miree davaa, tira har nafas bhi hai jaaN.fizaa
tira lams dard ki hai shifaa, tire qurb hee ka kamaal hai!

tu Raheem hai, tu Kareem hai, tu 'Aleem hai, tu 'Azeem hai
mire dil meiN tu hi muqeem hai, tira shash jihat hi jalaal hai

miri zindagee ka hai raaz too, miri zeest ka hai javaaz too
tiri shaan kaa mire roo.ba.roo, na 'urooj hai na zavaal hai


(OCTOBER 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)