Monday, October 11, 1999

Ghazal 21: rahaa na dil hi pe qaaboo, na iKhtiyaar mujhe




rahaa na dil hi pe qaaboo, na iKhtiyaar mujhe
kiyaa hai 'ishq ne is tarh'a be.qaraar mujhe

'ivaz guloN ke, milee, aah! nok-e-Khaar mujhe!
KhizaaN ko ab ke samajhnaa paRaa bahaar mujhe

kuchch is tarah se fareb-e-nazar ka maaraa hooN
"voh aa bhi jaayeN to aaye na 'eitbaar mujhe" (1)

kisee ki yaad meiN sarshaar thaa jo muddat se
zamaana dekh ke samjhe hai mai.gusaar mujhe!

talaash-e-manzil-e- sabr-o-sukooN to hai dil ko
milaa hai raah meiN lekin faqat Ghubaar mujhe

agar Khataa hai mahabbat to phir Khataa hi sahi
gunaahgaar hooN -- keh do gunaahgaar mujhe!

Gham-e-hayaat, Gham-e-aarzoo, Gham-e-ulfat!
qadam qadam pe uThaana paRaa hai baar mujhe

'ajeeb cheez hai dil kaa mu'aamila, yaaro!
tamam 'umr kiyaa is ne sogvaar mujhe

ba.yaad-e-kaakul-e-jaanaaN, ba.zikr-e-qaamat-e-dost
miree talab liye jaatee hai soo-e-daar mujhe!

Khayaal-e-yaar ko dil se miTaaooN maiN? taubaa!
ziyaada jaan se apnee hai is se pyaar mujhe

pahuNch gayaa hooN maiN kyaa jalva.gaah-e-jaanaaN meiN?
nazar jo aaye hai har soo jamaal-e-yaar mujhe!

kiyaa thaa husn kaa deedaar maine jis din se
Khudaa gavaah, usee din se hai Khumaar mujhe!

mujhe kahe koi deevaana bhi to kyaa, 'naadaaN?'
isee Khitaab se duniyaa meiN hai vaqaar mujhe!


(OCTOBER 11, 1999 - WICHITA, KS - USA)

(1) 'Khumaar' Baarabankvi