Sunday, May 04, 1997

Ghazal 10: taskeen-e-zindagee ho kih duniyaa-e-aarzoo




taskeen-e-zindagee ho kih duniyaa-e-aarzoo
bas jaantaa hooN yeh kih ho tum meri aabroo!

tum se bichchaR ke chain na aayaa mujhe kaheeN
hairaan chashm ko hai sadaa teri justjoo

naGhmoN meiN bhee hai too, mere naaloN meiN bhee hai too,
saaNsoN meiN bhee hai too, mere KhwaaboN meiN bhee hai too

jab se basee ho, dil meiN hai ik mausam-e-bahaar
goyaa chaman meiN khil uThe gul_haa`e- rang-o-boo

ab mushkilaat-e- raah-e-muhabbat kaa zikr kyaa?
aasaaN hai har qadam jo ho tum mere roo.ba.roo

gar chaahtaa hooN kuchch to yahee chaahtaa hooN maiN
shuhrat tumhaari shehr-e-muhabbat meiN koo.ba.koo

sad.shukr, kih mujh par haiN yeh teri 'inaayateN
maano na maano, mujh ko hai bas teri aarzoo


(MAY 04, 1997 - WICHITA, KS - USA)

* - musalsal Ghazal or a nazm