Monday, May 14, 2001

Ghazal 31: shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN




shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN
vaaqif-e-rasm-e-dil samaaj naheeN

ab ke, pehla sa voh mizaaj naheeN
aur lagtaa hai kuchch 'ilaaj naheeN

hai muqaddar pe iKhtiyaar kise?
is pe, yaaro, kisi ka raaj naheeN!

hum bhi sultaaN haiN shehr-e-veeraaN ke!
baat alag hai k. taKHt-o-taaj naheeN

dil to paiham hai mehv-e-yaad-e-butaaN
aur juz is ke, kaam kaaj naheeN!

har sitam us ka sehte jaate haiN
phir bhi hoNToN pe ehtijaaj naheeN

hum ko apne 'uyoob kee hai KHabar
yeh na kehnaa k. hum ko laaj naheeN

jaan detaa hai voh, vohi legaa
haqq hai us kaa, koi Khiraaj naheeN!

hum ko mil jaaye gar jahaaN meiN sukooN
phir kisi shai ki ehtiyaaj naheeN!

lutf aisi Ghazal ka kyaa, jis meiN
tapish-e-dil ka imtizaaj naheeN!

manzil-e-aagahi talak "naadaaN" --
"hum bhi pohoNcheNge, lekin aaj naheeN" (1)

(MAY 14, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) U. V. Ravindra "Khursheed"

Coming soon

Coming soon