Saturday, March 24, 2001

Ghazal 29: maqsad-e-yak zindagaani chaahiye




maqsad-e-yak zindagaani chaahiye
'ishq ki koi nishaani chaahiye

dil ko ab sheereeN bayaani chaahiye
aur phir uski zabaani chaahiye!

zehr ab lagne lagi hai zindagi!
mujhko marg-e-naagahaani chaahiye

dil ka kyaa hai - TooT jaayega abhi
"dostoN ki mehrbaani chaahiye!" (1)

toR kar yeh halqa`e-Gham, ab mujhe
ik nishaat-e-jaavidaani chaahiye

dil taRaptaa hai musalsal aaj kal
jaise sehraaoN ko paani chaahiye!

zindagi ke sab maraahil par mujhe
ik kaleed-e-kaamraani chaahiye!

kyaa qayaamat thi nigaaheN jab mileeN!
yooN balaa-e-aasmaani chaahiye!

jis tarah thaa uski yaadoN ka Khumaar
phir vohi KhooN meiN ravaani chaahiye

phir dar-e-jaanaaN ko jaata hai Khayaal
kuchch to vajh-e-shaadmaani chaahiye...!

yaad haiN bachpan ke afsaane mujhe
phir woh pariyoN ki kahaani chaahiye

'umr-e-rafta ka hai 'naadaaN' kyaa gila?
kyaa tujhe phir nau.javaani chaahiye?!

(MARCH 24, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) Abdul Hamid Adam

Coming soon

Coming soon