Tuesday, August 07, 2001

Ghazal 33: jab se is zindagi se pyaar naheeN




jab se is zindagi se pyaar naheeN
dil meiN pehla sa voh Khumaar naheeN

dost, ahbaab, Ghamgusaar naheeN
koi hum saa jahaaN meiN Khwaar naheeN

Gham to laakhoN haiN daaman-e-dil meiN
bus Khushi hai jo paaedaar naheeN

jo na vaaqif ho hijr ke Gham se
voh jahaaN meiN vafaa-shi'aar naheeN

"dushmani dushmanoN se kyaa karte?" (1)
dostoN kaa jab 'eitbaar naheeN!

jazba`e-dil pe iKhtiyaar kahaaN?
jab k. KHud dil pe iKhtiyaar naheeN

jis chaman meiN hai aashiyaaN apnaa
us chaman hee meiN kyoN bahaar naheeN?

hai mohabbat agar gunaah to ho
hum magar is se sharmsaar naheeN

baaz aa jaaiye sitam se huzoor
shehr-e-dil Misr kaa dayaar naheeN!

mil bhi jaaye sukoon-e-qalb, magar
hum to masroof-e-intezaar naheeN

raaz-e-ulfat se be.KHabar haiN sabhi
koi duniyaa meiN hoshiyaar naheeN!

'aasihqui kaar-e-ehl-e-himmat hai
buzdiloN kaa yeh kaarobaar naheeN

kuchch to hai vajh-e-bekali, naadaaN
be.sabab dil yeh beqaraar naheeN!

(AUGUST 07, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) "Sarwar" Alam Raz

(tarahi misra - "saaqiyaa, dil pe iKhtiyaar naheeN"
Sufi Fazl-ur-Rahman "Kausar" Niyaazi )

Coming soon

Coming soon