Monday, February 12, 2001

Ghazal 28: shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai




shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai
kyaa Khoob zamaane meiN mohabbat ka silaa hai

ik 'umr guzaari to pataa mujhko chalaa hai
kehte haiN jise 'ishq, yeh dar.asl balaa hai

ai chaaragaro, mujhko mire haal pe chhoRo,
is Gham ka madaava na dua'a hai na davaa hai

badlaa hai bhalaa pehle bhi dastoor-e-zamaana?
"hai dasht wohi, aur wohi aabla.paa hai" (1)

har shab ki tarah ab ke bhi jaaga hooN maiN shab bhar
us ne jo yahaaN aane ka ik va'ada kiyaa hai --

irfaan-e-haqeeqat se munavvar jo huaa dil
ma'aloom huaa yeh k. har ik samt Khudaa hai

har manzar-e-fitrat pe jabeeN jhukti hai meri
yeh tarz-e-'ibaadat mira har ik se judaa hai

us shaKhs ka afsaana sunaaooN bhi to kaise?
har gaam pe duniya meiN jo mar mar ke jiyaa hai

afsurda-dili, zaKhm-e-jigar, Khoon-e-tamanna
kyaa dehr meiN naadaaN tujhe kuchch aur milaa hai?

(1) Sarwar Alam Raz "Sarwar"

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


Ghazal 27: dil meiN hai umang




dil meiN hai umang
phir se hai tarang

daam-e-'aashiqi
halqa`e-nahang!

meri zindagi
ik kaTee patang

maiN hooN baa.vafaa
kyoN jahaaN hai dang?

'aql-o-hosh par
kyoN lagaa hai zang?

hai nigaah-e-yaar
goyaa ik Khadang

yaad kaa Khumaar
ho sakaa na bhang (1)

dil hai 'aql se
aaj mehv-e-jang

mujh se yooN hijaab!?
dil hai yaa k. sang!

dard-e-dil ke bhi
muKhtalif haiN rang

mustaqil malaal!
dil hua hai sang

dil ki dhaRkaneN
jaise ik mridang!

saaNs, nabz-o-jaaN
nai, rabaab-o-chang!

zindagi se ab
aa gayaa hooN tang!

sust haiN qadam
itna kyoN dirang?

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) bhang hona = Hindi, to be broken/destroyed
(as in "tapasyaa bhang honaa" -- not to be confused with the opiate!)

Coming soon

Coming soon


Ghazal 26: un se ab visaal?




un se ab visaal?
yaa Khudaa! kamaal!

hai yeh dil ka haal
soz, Gham, malaal!

us ki yaad meiN
guzre maah-o-saal

ik adaa-e-Khaas
unki be.misaal!

Gham ho yaa Khushi
kab hai 'eitdaal?

kyoN naheeN sukooN?
lab pe hai savaal

yeh anaa ka ra'ub
dil se to nikaal

do ghaRi ko hai
husn aur jamaal

ab pataa lagaa
zeest hai vabaal

naGhma`e-firaaq
sur hai ab na taal

phir se 'aashiqi!?
dil zaraa saNbhaal

ik usi ka hai
husn-e-laa.zavaal!

mil gayee Khushi
maiN hooN maalamaal!

kaainaat-e-"kun"
ek maaya.jaal!

aur kyaa kahooN!?
Gham se hooN niDhaal!

mujh ko ab naheeN
taab-e- qeel-o-qaal!

bas, Khamosh ab!
chhoR yeh Khayaal!

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon



Coming soon



Ghazal 25: sar pe hai savaar




sar pe hai savaar
'ishq kee pukaar

dil ke ho gaye
raaz aashkaar

aaye dar chaman
kaash, ab bahaar!

dil ka khel hai!
yaaro, zeenhaar!

bahr-e-zindagi
kaise ab ho paar?

dil se dil ka hai
naata ustuvaar

tanha jheltaa
hooN jahaaN ka baar

saaz hai Khamosh
TooTa dil ka taar

"teera hai naseeb" (1)
Gham ka hooN shikaar

meri raah meiN
hai faqat Ghubaar

hasratoN ka hai
dil meiN ik mazaar

ab qazaa ka hai
mujh ko intizaar

husn cheez kyaa?
aur kyaa nikhaar?

hai 'abas rafeeq
dil ka kaar-o-baar

ik hai gar Khushi
Gham haiN sad.hazaar!

miT chukaa hai ab
zeest ka Khumaar

hai mayassar ab
dekh, iKhtisaar!

(1) 'Karaamat' Gardezi

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon