Friday, October 12, 2001

Ghazal 35: vohi raat-din ka malaal hai, vohi roz-o-shab ka vabaal hai




vohi raat din ka malaal hai, vohi roz-o-shab ka vabaal hai
vohi subh-o-shaam ki ranjisheN, vohi aashiqi ka ma'aal hai!

na voh qurbatoN ke haiN silsile, na voh qalb-e-zaar meiN valvale
na hi sehn-e-dil meiN haiN gul khile k. yeh baar-e-Gham se niDhaal hai

mire vaaste hi yeh Gham hai kyoN? hai Khushi agar bhi to kam hai kyoN?
yeh hamesha ranj-o-alam hai kyoN? mire lab pe aaj savaal hai!

mire Gham ka mujhko naheeN gilaa, k. yehi to 'ishq ka hai silaa
pai maiN kyaa karooN dil-e-mubtilaa k. ik 'umr hee se yeh haal hai

go aseer-e-kulfat-o-Gham bhi hooN, go raheen-e-ranj-o-alam bhi hooN
mira dil to phir bhi hai mutma'in, isi Gham meiN phir bhi nihaal hai

huaa jab se mast-e-mai-e-vilaa, naheeN mujhko hosh ka kuchch pataa
hai Khabar mujhe kisi aur kee, na Khud apna kuchch bhi Khayaal hai

mira dil jo aaj hai naGhma.zan, huaa sabza.zaar jo yeh chaman
to yaqeeN kareN sar-e-anjuman ab usee ka zikr-e-jamaal hai!

tiri yaad hai mujhe mustaqil, k. churaa gayaa hai tu zehn-o-dil
miri chaahatoN ki bhalaa bataa, kahaaN is se baRh ke misaal hai?

tujhe DhooNDtaa bhi to ab kahaaN ? k. yahaaN hai tu na hai tu vahaaN!
magar ab bhi yooN k. dil-e-tapaaN ko tujhee se shauq-e-visaal hai

mai-e-naab laa mire saaqiyaa, na ho is qadar tu gurez.paa
tire oak se jo na pee sakaa to yeh zindagi bhi muhaal hai!

tiri har nazar hai miree davaa, tira har nafas bhi hai jaaN.fizaa
tira lams dard ki hai shifaa, tire qurb hee ka kamaal hai!

tu Raheem hai, tu Kareem hai, tu 'Aleem hai, tu 'Azeem hai
mire dil meiN tu hi muqeem hai, tira shash jihat hi jalaal hai

miri zindagee ka hai raaz too, miri zeest ka hai javaaz too
tiri shaan kaa mire roo.ba.roo, na 'urooj hai na zavaal hai


(OCTOBER 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

وہی رات دِن کا ملال ہے، وہی روز و شب کا وبال ہے
وہی صُبح و شام کی رنجِشیں، وہی عاشقی کا مآل ہے

نہ وہ قُربتوں کے ہیں سِلسِلے، نہ وہ قلبِ زار میں ولولے
نہ ہی صحنِ دِل میں ہیں گُل کِھلے، کہ یہ بارِ غم سے نِڈھال ہے

مِرے واسطے ہی یہ غم ہے کیوں؟ ہے خوشی اگر بھی تو کم ہے کیوں؟
یہ ہمیشہ رنج و الم ہے کیوں؟ مِرے لب پہ آج سوال ہے

گو اسیرِ کُلفت و غم بھی ہُوں، گو رہینِ رنج و الم بھی ہُوں
مِرا دِل تو پھِر بھی ہے مُطمئن، اِسی غم میں پِھر بھی نِہال ہے

ہُوا جب سے مَستِ مۓ وِلا، نہیں مُجھ کو ہوش کا کُچھ پتا
ہے خبر مُجھے کِسی اور کی، نہ خود اپنا کُچھ بھی خیال ہے

مِرا دِل جو آج ہے نغمہ زن، ہُوا سبزہ زار جو یہ چمن
تو یقیں کریں، سرِ انجُمن اب اُسی کا ذِکرِ جمال ہے

تِری یاد ہے مجُھے مُستقِل، کہ چُرا گیا ہے تُو ذہن و دِل
مِری چاہتوں کی بھلا بتا، کہاں اِس سے بڑھ کے مِثال ہے؟

تُجھے ڈھُونڈتا بھی تو اب کہاں، کہ یہاں ہے تُو، نہ ہے تُو وہاں
مگر اب بھی یُوں، کہ دلِ تپاں کو تُجھی سے شوقِ وِصال ہے

مۓ ناب لا مِرے ساقیا، نہ ہو اِس قدر تُو گُریز پا
تِرے اوک سے جو نہ پی سَکا تو یہ زِندگی بھی مُحال ہے

تِری ہر نظر ہے مِری دَوا، ترا ہر نفس بھی ہے جاں فِضا
تِرا لمس درد کی ہے شِفا، تِرے قُرب ہی کا کمال ہے

تُو رحیِم ہے، تُو کریِم ہے، تُو علیِم ہے، تُو عظیمِ ہے
مِرے دِل میں تُو ہی مُقیم ہے، تِرا شش جِہت ہی جلال ہے

مِری زِندگی کا ہے راز تُو، مری زیِست کا ہے جواز تُو
تِری شان کا، مِرے رُو بہ رُو، نہ عرُوج ہے نہ زوال ہے


(OCTOBER 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)



Wednesday, September 26, 2001

Ghazal 34: yalGhaar-e-tamanna hai to hai yoorish-e-armaan




yalGhaar-e-tamanna hai to hai yoorish-e-armaan
kis tarh'a bataaooN kih hai mushkil meiN miree jaan!

kartaa hooN sar-e-koo-e-butaaN Khud ko maiN qurbaan
kuchch meri bhi Khwaahish si hai, kuchch un ka bhi farmaan!

ka'aba ho, sanam.Khaana ho, masjid yaa kaleesaa
sab ghar haiN muhabbat ke, har ik ghar meiN hai bhagvaan!

hai baargah-e-'ishq meiN har shaKhs baraabar
qaadir ho kih naa.chaar, gadaa.gar ho kih sultaan

Khud.been haiN, Khud.kaam haiN kyoN shaiKh-o-barahman?
kyaa dehr meiN baaqee hi naheeN ab kaheeN 'irfaan?

maKhmoor-e-mai-e-'ishq-e-haqeeqat hooN azal se
saaGhar ki zaroorat hai na paimaane ka armaan

deevaana`e-ulfat hooN maiN, deevaana`e-ulfat!
kartaa hooN baRe faKhr se duniya meiN yeh a'ilaan

dil sail-e-havaadis meN bahe jaataa hai har dam
barbaad kiye detaa hai kis darja yeh toofaan!

Dhaaye hai sitam roz naye mujh pe sitam.gar
GhairoN se shinaasaa hai voh, apnoN se hai anjaan!

"roodaad-e-alam", "qissa`e-Gham", "dard ki tafseer"
jo chaaheN banaa leeje miree zeest ka 'unvaan!

paaband-e-Gham-e-hijr hooN is tarh'a, kih ab to
jeene ki hi soorat hai, na marne ka hai imkaan

behtar hai yehi, dil na zamaane se lagaayeN --
is raah-e-fanaa meiN to hai nuqsaan hi nuqsaan!

taa 'umr jo daanista rahaa mujh se gurezaaN
aayaa hai dam-e-marg voh ab zood.pashemaan!

da'avaa-e-suKhan.daanee naheeN mujh ko, valekin
likhtaa hooN sabab Gham ka to ban jaata hai deevaan!

us banda`e-naa.ahl se maiN Khoob hooN vaaqif
hai apne taKhallus ki tarah Khud bhi voh 'naadaan!'


(SEPTEMBER 26, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Hindi Here

یلغارِ تمنّا ہے، کبھی یُورشِ ارمان
کِس طرح بتاؤں کہ ہے مُشکل میں مری جان

کرتا ہُوں سرِ کوۓ بُتاں خود کو مَیں قربان
کُچھ میری بھی خواہش سی ہے، کُچھ اُن کا بھی فرمان

کعبہ ہو یا بُت خانہ ہو یا پھر ہو کليسہ
سب گھر ہیں مُحبّت کے، ہر اِک گھر میں ہے بھَگوان

ہے بارگہِ عشق میں ہر شخص برابر
قادِر ہو کہ ناچار، گداگر ہو کہ سُلطان

خود بین ہیں، خود کام ہیں کیوں شیخ و بَرَہمن؟
کیا دہر میں باقی ہی نہیں اب کہیں عِرفان؟

مخمُورِ مۓ عشقِ حقیقت ہُوں ازل سے
ساغر کی ضرورت ہے نہ پیمانے کا ارمان

دیوانۂ اُلفت ہُوں مَیں، دیوانہ اُلفت
کرتا ہُوں بڑے فخر سے دُنیا میں یہ اعلان

ڈھاۓ ہے سِتم روز نئے مُجھ پہ سِتمگر
غیروں سے شناسا ہے وہ، اپنوں سے ہے انجان

تا عُمر جو دانستہ رہا مُجھ سے گُریزاں
آیا ہے دمِ مرگ وہ اب زُود پشیمان

دِل سیلِ حوادث میں بہے جاتا ہے ہر دم
برباد کئے دیتا ہے کِس درجہ یہ طوفان

رودادِ الم، قصّۂ غم، درد کی تفسیر
جو چاہیں بنا لیجے مری زیست کا عُنوان

پابندِ غمِ ہجر ہُوں اِس طرح، کہ اب تو
جینے کی ہی صُورت ہے نہ مَرنے کا ہے اِمکان

بہتر ہے یہی دل نہ زمانے سے لگائیں
اِس راہِ فنا میں تو ہے نُقصان ہی نُقصان

دعواۓ سُخن دانی نہیں مُجھ کو، ولیکن
لِکھتا ہوں سبب غم کا تو بَن جاتا ہے دیوان

اُس بندۂ نا اہل سے مَیں خُوب ہوں واقِف
ہے اپنے تخلّص کی طرح خُود بھی وہ نادانؔ


(SEPTEMBER 26, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)



Tuesday, August 07, 2001

Ghazal 33: jab se is zindagi se pyaar naheeN




jab se is zindagi se pyaar naheeN
dil meiN pehla sa voh Khumaar naheeN

dost, ahbaab, Ghamgusaar naheeN
koi hum saa jahaaN meiN Khwaar naheeN

Gham to laakhoN haiN daaman-e-dil meiN
bus Khushi hai jo paaedaar naheeN

jo na vaaqif ho hijr ke Gham se
voh jahaaN meiN vafaa-shi'aar naheeN

"dushmani dushmanoN se kyaa karte?" (1)
dostoN kaa jab 'eitbaar naheeN!

jazba`e-dil pe iKhtiyaar kahaaN?
jab k. KHud dil pe iKhtiyaar naheeN

jis chaman meiN hai aashiyaaN apnaa
us chaman hee meiN kyoN bahaar naheeN?

hai mohabbat agar gunaah to ho
hum magar is se sharmsaar naheeN

baaz aa jaaiye sitam se huzoor
shehr-e-dil Misr kaa dayaar naheeN!

mil bhi jaaye sukoon-e-qalb, magar
hum to masroof-e-intezaar naheeN

raaz-e-ulfat se be.KHabar haiN sabhi
koi duniyaa meiN hoshiyaar naheeN!

'aasihqui kaar-e-ehl-e-himmat hai
buzdiloN kaa yeh kaarobaar naheeN

kuchch to hai vajh-e-bekali, naadaaN
be.sabab dil yeh beqaraar naheeN!

(AUGUST 07, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) "Sarwar" Alam Raz

(tarahi misra - "saaqiyaa, dil pe iKhtiyaar naheeN"
Sufi Fazl-ur-Rahman "Kausar" Niyaazi )

Coming soon

Coming soon


Tuesday, June 26, 2001

Ghazal 32: aaye hai ab Khushi na Gham hi raas in dinoN




aaye hai ab Khushi na Gham hi raas in dinoN
dil ko umeed hai na koi yaas in dinoN

dard-e-firaaq hadd se baRh chukaa hai is qadar
darmaaN naheeN hai chaara.gar ke paas in dinoN

afsos -- Khud.nigar huaa hai har bashar yahaaN
sad haif -- aadmi hai naa.sipaas in dinoN!

guzraa zamaana voh k. jab thaa us se vaastaa
lekin milan ki phir bhi kyoN hai aas in dinoN?

us ke vujood ka hai har nazar mushaahidaa
kaafi hai dil ko ik yehi asaas in dinoN

Gharqaab-e- behr-e-aarzoo hai jism-o-jaaN, vale
baRhtee hi jaa rahee hai phir bhi pyaas in dinoN

raah-e-talab meiN hoNge naasehaa kayee, magar
dil chaahtaa hai koi GHam-shanaas in dinoN

kyaa jaane ab ke yaad aa gayaa hai kyaa mujhe!
"naadaaN" - huaa hai dil bohot udaas in dinoN

(JUNE 26, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


Monday, May 14, 2001

Ghazal 31: shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN




shehr meiN 'ishq kaa rivaaj naheeN
vaaqif-e-rasm-e-dil samaaj naheeN

ab ke, pehla sa voh mizaaj naheeN
aur lagtaa hai kuchch 'ilaaj naheeN

hai muqaddar pe iKhtiyaar kise?
is pe, yaaro, kisi ka raaj naheeN!

hum bhi sultaaN haiN shehr-e-veeraaN ke!
baat alag hai k. taKHt-o-taaj naheeN

dil to paiham hai mehv-e-yaad-e-butaaN
aur juz is ke, kaam kaaj naheeN!

har sitam us ka sehte jaate haiN
phir bhi hoNToN pe ehtijaaj naheeN

hum ko apne 'uyoob kee hai KHabar
yeh na kehnaa k. hum ko laaj naheeN

jaan detaa hai voh, vohi legaa
haqq hai us kaa, koi Khiraaj naheeN!

hum ko mil jaaye gar jahaaN meiN sukooN
phir kisi shai ki ehtiyaaj naheeN!

lutf aisi Ghazal ka kyaa, jis meiN
tapish-e-dil ka imtizaaj naheeN!

manzil-e-aagahi talak "naadaaN" --
"hum bhi pohoNcheNge, lekin aaj naheeN" (1)

(MAY 14, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) U. V. Ravindra "Khursheed"

Coming soon

Coming soon


Thursday, April 26, 2001

ibtidaa




ibtidaa hoti hai us ke naam se...

hayaat meri Haqeeqat ki aisi qism bane
Khuloos-o-'ishq ka ghar mera saara jism bane

khuli kitaab ho dil, jiske har varaq par maiN
huroof jo bhi likhooN, bas usi ka ism bane

nigaah paak rahe, dil anaa se door rahe
Khudaa ke fazl se aisa koi tilism bane

इब्तिदा होती है उस के नाम से...

हयात मेरी हक़ीक़त की ऐसी क़िस्म बने
ख़ुलूस-ओ-'इश्क़ का घर मेरा सारा जिस्म बने

खुली किताब हो दिल, जिसके हर वरक़ पर मैं
हुरूफ़ जो भी लिखूँ, बस उसी का इस्म बने

निगाह पाक रहे, दिल अना से दूर रहे
ख़ुदा के फ़ज़्ल से ऐसा कोई तिलिस्म बने

(APRIL 27, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

اِبتِداء ہوتی ہے اُس کے نام سے


حیات میری حقیقت کی ایسی قِسم بنے
خلوص و عِشق کا گھر میرا سارا جِسم بنے

کھُلی کِتاب ہو دل، جِس کے ہر ورق پر مَیں
حروف جو بھی لِکھوں، بس اُسی کا اِسم بنے

نِگاہ پاک رہے، دِل انا سے دُور رہے
خُدا کے فضل سے ایسا کوئی طِلِسم بنے

(APRIL 27, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)



Sunday, April 01, 2001

Ghazal 30: zaKhm-e-dil maa'il-e-shifaa na huaa *




zaKhm-e-dil maa'il-e-shifaa na huaa
daaGh seene se ab judaa na huaa

har ghaRee yooN kisee ki yaad meiN gum --
haaye, ab dil bhi baa.vafaa na huaa!

minnateN kee theeN hum ne kitni vahaaN
dar-e-jaanaana phir bhi vaa na huaa

baa.vujood-e-hazaar_haa koshish
dil kabhee 'ishrat.aashnaa na huaa

aaKhir-e-kaar mil gayee shuhrat
ab ke ilzaam kuchch buraa na huaa!

be.asar ho gayeeN dua'aeN meri
goyaa naala bhi ab rasaa na huaa

Gham ka toofaan, dard kee yoorish
kyaa bataayeN kih hum pe kyaa na huaa!

us ki baatoN ka 'eitbaar kise?
us ne jo kuchch bhi thaa kahaa, na huaa

be.niyaazee, subuk.saree, be.dilee!?
kyoN koi aaj be.riyaa na huaa?

'umr bhar reh gayee thi ik hasrat
us ke dar ka maiN Khaak-e-paa na huaa

the mohabbat meiN be.qusoor sabhee
ek 'naadaaN' hi be.Khataa na huaa!

(APRIL 01, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

* based on Ghalib's: "dard minnatkash-e-davaa na huaa"

Coming soon

Coming soon


Saturday, March 24, 2001

Ghazal 29: maqsad-e-yak zindagaani chaahiye




maqsad-e-yak zindagaani chaahiye
'ishq ki koi nishaani chaahiye

dil ko ab sheereeN bayaani chaahiye
aur phir uski zabaani chaahiye!

zehr ab lagne lagi hai zindagi!
mujhko marg-e-naagahaani chaahiye

dil ka kyaa hai - TooT jaayega abhi
"dostoN ki mehrbaani chaahiye!" (1)

toR kar yeh halqa`e-Gham, ab mujhe
ik nishaat-e-jaavidaani chaahiye

dil taRaptaa hai musalsal aaj kal
jaise sehraaoN ko paani chaahiye!

zindagi ke sab maraahil par mujhe
ik kaleed-e-kaamraani chaahiye!

kyaa qayaamat thi nigaaheN jab mileeN!
yooN balaa-e-aasmaani chaahiye!

jis tarah thaa uski yaadoN ka Khumaar
phir vohi KhooN meiN ravaani chaahiye

phir dar-e-jaanaaN ko jaata hai Khayaal
kuchch to vajh-e-shaadmaani chaahiye...!

yaad haiN bachpan ke afsaane mujhe
phir woh pariyoN ki kahaani chaahiye

'umr-e-rafta ka hai 'naadaaN' kyaa gila?
kyaa tujhe phir nau.javaani chaahiye?!

(MARCH 24, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)


(1) Abdul Hamid Adam

Coming soon

Coming soon


Monday, February 12, 2001

Ghazal 28: shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai




shikva hai, sitam hai to kabhi jaur-o-jafaa hai
kyaa Khoob zamaane meiN mohabbat ka silaa hai

ik 'umr guzaari to pataa mujhko chalaa hai
kehte haiN jise 'ishq, yeh dar.asl balaa hai

ai chaaragaro, mujhko mire haal pe chhoRo,
is Gham ka madaava na dua'a hai na davaa hai

badlaa hai bhalaa pehle bhi dastoor-e-zamaana?
"hai dasht wohi, aur wohi aabla.paa hai" (1)

har shab ki tarah ab ke bhi jaaga hooN maiN shab bhar
us ne jo yahaaN aane ka ik va'ada kiyaa hai --

irfaan-e-haqeeqat se munavvar jo huaa dil
ma'aloom huaa yeh k. har ik samt Khudaa hai

har manzar-e-fitrat pe jabeeN jhukti hai meri
yeh tarz-e-'ibaadat mira har ik se judaa hai

us shaKhs ka afsaana sunaaooN bhi to kaise?
har gaam pe duniya meiN jo mar mar ke jiyaa hai

afsurda-dili, zaKhm-e-jigar, Khoon-e-tamanna
kyaa dehr meiN naadaaN tujhe kuchch aur milaa hai?

(1) Sarwar Alam Raz "Sarwar"

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon


Ghazal 27: dil meiN hai umang




dil meiN hai umang
phir se hai tarang

daam-e-'aashiqi
halqa`e-nahang!

meri zindagi
ik kaTee patang

maiN hooN baa.vafaa
kyoN jahaaN hai dang?

'aql-o-hosh par
kyoN lagaa hai zang?

hai nigaah-e-yaar
goyaa ik Khadang

yaad kaa Khumaar
ho sakaa na bhang (1)

dil hai 'aql se
aaj mehv-e-jang

mujh se yooN hijaab!?
dil hai yaa k. sang!

dard-e-dil ke bhi
muKhtalif haiN rang

mustaqil malaal!
dil hua hai sang

dil ki dhaRkaneN
jaise ik mridang!

saaNs, nabz-o-jaaN
nai, rabaab-o-chang!

zindagi se ab
aa gayaa hooN tang!

sust haiN qadam
itna kyoN dirang?

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

(1) bhang hona = Hindi, to be broken/destroyed
(as in "tapasyaa bhang honaa" -- not to be confused with the opiate!)

Coming soon

Coming soon


Ghazal 26: un se ab visaal?




un se ab visaal?
yaa Khudaa! kamaal!

hai yeh dil ka haal
soz, Gham, malaal!

us ki yaad meiN
guzre maah-o-saal

ik adaa-e-Khaas
unki be.misaal!

Gham ho yaa Khushi
kab hai 'eitdaal?

kyoN naheeN sukooN?
lab pe hai savaal

yeh anaa ka ra'ub
dil se to nikaal

do ghaRi ko hai
husn aur jamaal

ab pataa lagaa
zeest hai vabaal

naGhma`e-firaaq
sur hai ab na taal

phir se 'aashiqi!?
dil zaraa saNbhaal

ik usi ka hai
husn-e-laa.zavaal!

mil gayee Khushi
maiN hooN maalamaal!

kaainaat-e-"kun"
ek maaya.jaal!

aur kyaa kahooN!?
Gham se hooN niDhaal!

mujh ko ab naheeN
taab-e- qeel-o-qaal!

bas, Khamosh ab!
chhoR yeh Khayaal!

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon



Coming soon



Ghazal 25: sar pe hai savaar




sar pe hai savaar
'ishq kee pukaar

dil ke ho gaye
raaz aashkaar

aaye dar chaman
kaash, ab bahaar!

dil ka khel hai!
yaaro, zeenhaar!

bahr-e-zindagi
kaise ab ho paar?

dil se dil ka hai
naata ustuvaar

tanha jheltaa
hooN jahaaN ka baar

saaz hai Khamosh
TooTa dil ka taar

"teera hai naseeb" (1)
Gham ka hooN shikaar

meri raah meiN
hai faqat Ghubaar

hasratoN ka hai
dil meiN ik mazaar

ab qazaa ka hai
mujh ko intizaar

husn cheez kyaa?
aur kyaa nikhaar?

hai 'abas rafeeq
dil ka kaar-o-baar

ik hai gar Khushi
Gham haiN sad.hazaar!

miT chukaa hai ab
zeest ka Khumaar

hai mayassar ab
dekh, iKhtisaar!

(1) 'Karaamat' Gardezi

(FEBRUARY 12, 2001 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon