Tuesday, February 22, 2000

Ghazal 22: muddat ke baad ab voh mujhe yaad aaye hai




muddat ke baad ab voh mujhe yaad aaye hai
jaise koi bujhaa sa diyaa phir jalaaye hai

maazi ki yaad mujhko hameshaa sataaye hai
soz-e-darooN se aaNkh bhi dariyaa bahaaye hai

deevaangi ne aaj yeh kyaa haal kar diyaa?
kaaNpe haiN mere haath to lab thartharaaye hai

duniya meiN dard-e-dil to rahaa saath mustaqil
so yooN huaa k. Gham hi mujhe raas aaye hai

"jab bhi teri talaash ko nikle, bhaTak gaye" (1)
hai raah kaun si jo tere ghar ko jaaye hai?

ik dasht-e-zindagi ka maiN gumgashta raahrau
DhooNDe hai dil sukooN ko, valekin na paaye hai

dil to raheen-e-ranj-o-alam kab ka ho chukaa
ab dekhiye qismat miri kyaa gul khilaaye hai!

hai kyaa 'ajab jo dost bhi mujh se kareN gurez?
saaya bhi mujh se ab mira katraa ke jaaye hai!

gar hooN rumooz-e-'ishq se na-aashnaa to kyaa?
naadaaN, yeh 'ilm voh hai jo barsoN meiN aaye hai!

(FEBRUARY 22, 2000 - WICHITA, KS - USA)

(1) Dr. Raj Kumar Pathria, PhD.

Coming soon

Coming soon