Wednesday, September 15, 1999

Ghazal 20: "kaisi 'ajeeb soorat-e-haalaat ho gayee"




"kaisee 'ajeeb soorat-e-haalaat ho gayee" :: (1)
har jeet zindagee ki miri maat ho gayee!

phir tez dil meiN shiddat-e-jazbaat ho gayee
phir dard-o-Gham hi haasil-e-sauGhaat ho gayee

aaNkhoN se sail-e-ashk jo TooTaa, to is qadar
baadal baGhair ab ke yeh barsaat ho gayee

dekhaa jo Khud ko Ghaur se, aisaa lagaa mujhe
goyaa kih dil pe yoorish-e-aafaat ho gayee

saazish thi meri zeest ki shaayad mere Khilaaf
har ranj kaa nishaana miree zaat ho gayee

kyaa kyaa qayaamateN theeN jo dil par guzar gayeeN
un se jab aik roz mulaaqaat ho gayee

maine liyaa thaa bhool se rasm-e-vafaa kaa naam
shehr-e-jafaa meiN kitni baRee baat ho gayee!

yak.laKht mujh pe khul gaye asraar-e-zindagee
aur ibitidaa-e-daur-e-tilismaat ho gayee

kab tak yahee fasaana sunaate rahoge tum?
'naadaaN' uTho, kih ab to bohot raat ho gayee

(SEPT 15, 1999 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Zarreen" Yaaseen

Coming soon

Coming soon